Jitni Tezi Se Aa Raha Tha Woh,
Laut Kar Door Ja Raha Tha Woh;
Sirf Rishte Ki Baat Par Yaaro,
Umar Apni Chupa Raha Tha Woh!
Kitni Lambi Khamoshi Se Guzra Hun;
Un Se Kitna Kuch Kehne Ki Koshish Ki!
Dil Se Agar Kabhi Tera Armaan Jayega,
Ghar Ko Laga Ke Aag Ye Mehmaan Jayega;
Sab Honge Us Se Apne Taaruf Ki Fikr Mein,
Mujh Ko Mere Sukut Se Pehchan Jayega!
Aankh Se Dil Mein Aane Wala,
Dil Se Nahi Ab Jaane Wala;
Ghar Ko Phoonk Ke Jaane Wala,
Phir Ke Nahi Hai Aane Wala!
Kirdar Dekhna Hai To Surat Na Dekhiye;
Milta Nahi Zameen Ka Pata Aasman Se!
Ghairon Se To Fursat Tumhein Din Raat Nahi Hai,
Haan Mere Liye Waqt-e-Mulaqat Nahi Hai!
Sula Kar Tez Dharon Ko Kinaro Tum Na So Jaana,
Ravani Zindagani Hai To Dharo Tum Na So Jaana;
Mujhe Tum Ko Sunani Hai Mukammal Dastan Apni,
Adhuri Dastan Sun Kar Sitaro Tum Na So Jaana!
Roya Karenge Aap Bhi Pehron Isi Tarah,
Aatka Kahin Jo Aapka Dil Bhi Meri Tarah;
Na Aap Hijar Mein Hain Na Aaram Vasal Mein,
Kambakht Dil Ko Chain Nahi Hai Kisi Tarah!
Apni Dhun Mein Rehta Hoon, Main Bhi Tere Jaisa Hoon;
O Pichhle Rutt Ke Sathi, Ab Ke Baras Main Tanha Hoon!
Na Pucha Mere Sabar Ki Inteha Kahan Tak Hai, Kar Le Tu Sitam, Teri Hasrat Jahan Tak Hai; Wafa Ki Umeed, Jinhe Hogi Unhe Hogi, Humein To Dekhna Hai Tu Bewafa Kahan Tak Hai!