Baat Karni Mujhe Mushkil Kabhi Aisi To Na Thi,
Jaisi Ab Hai Teri Mehfil Kabhi Aisi To Na Thi;
Le Gaya Chheen Ke Kaun Aaj Tera Sabr-o-Qarar,
Be-Qarari Tujhe Ai Dil Kabhi Aisi To Na Thi!
Ranjish Hi Sahi Dil Hi Dukhane Ke Liye Aa,
Aa Phir Se Mujhe Chhod Ke Jaane Ke Liye Aa;
Kuch To Mere Pindar-e-Mohabbat Ka Bharam Rakh,
Tu Bhi To Kabhi Mujh Ko Manane Ke Liye Aa!
Is Shehar Ko Raas Aayi Hum Jaison Ki Gum-Nami; Hum Naam Batate To Ye Shehar Bhi Jal Jata!
Hum Ne Kaanton Ko Bhi Narmi Se Chhua Hai Aksar;
Log Bedard Hain Phulon Ko Masal Dete Hain!
Hum Ne To Socha Bhi Nahin Tha Aisa Din Bhi Aayega;
Apnon Ka Yun Rukh Badlega Sab Se Jee Bhar Jayega!
Tere Vaadon Pe Kahan Tak Mera Dil Fareb Khaye;
Koi Aisa Kar Bahana Meri Aas Toot Jaye!
Main Bhi Gum-Sum Tha Koi Baat Na Karne Paaya; Us Ke Honthon Pe Bhi Jaise Koi Pahra Dekha!
Tamaam Umar Mera Mujh Se Ikhtilaf Raha; Gila Na Kar Jo Kabhi Tera Hum-Nava Na Hua! *Ikhtilaaf: Difference, Discord
Likhne Ko Likh Rahe Hain Ghazab Ki Kahaniyan; Likhi Na Ja Saki Magar Apni Hi Dastaan!
Mere Liye Jeene Ka Sahara Hai Abhi Tak; Wo Ahd-e-Tamanna Ki Tumhein Yaad Na Hoga! *Ahd-e-Tamanna: Period, Time, Promise