Karim-o-Saeban Hai Wo Mujhe Mehfuz Rakhta Hai, Mujhe Mehfuz Rakhta Hai Karim-o-Saeban Hai Wo; Agarche Be-Makan Hai Wo Panahen Mujh Ko Deta Hai, Panahen Mujh Ko Deta Hai Agarche Be-Makan Hai Wo! * Karim-o-Saeban: Merciful * Agarche: Although |
Bada Azar-e-Jan Hai Wo Agarche Mehrban Hai Wo, Agarche Mehrban Hai Wo Bada Azar-e-Jaan Hai Wo; Misal-e-Aasman Hai Wo Mujhe Zarkhez Karta Hai, Mujhe Zarkhez Karta Hai Misal-e-Aasman Hai Wo! *Azar-e-jan: Torment of life, *Agarche: Granted that |
Kahan Ke Mahir-o-Kamil Ho Tum Hunar Mein 'Adil' Tumhare Kaam To Parvar Deegar Karta Hai! |
Ai Sab Se Awwal Aur Akhir, Jahan-Tahan, Hazir Aur Nazir; Ai Sab Danaon Se Daana, Saare Tavanaon Se Tavana! |
Shikwa-e-Iztirab Kaun Kare, Apni Duniya Kharab Kaun Kare; Gin To Lete Hain Ungliyon Pe Gunah, Rahmaton Ka Hisab Kaun Kare! |
Koi Chara Nahi Dua Ke Siwa; Koi Sunta Nahi Khuda Ke Siwa! |
Jaan Ise Chalane Mein Ahrman Ki Khapti Hai; Raat-Din Magar Duniya Naam Tera Japti Hai, Roshni Ke Jalwe Hain Phalte Phulte Jangal; Jin Ki Chhattr-Chhaya Mein Tirgi Panapti Hai! *Tirgi: Darkness, Gloom |
Sar Pe Dast-e-Hawa Hai Sadiyon Se; Ghaib Ka Aasra Hai Sadiyon Se! * Ghaib: Mysterious, Unseen |
Samne Hain Jo Use Log Bura Kehte Hain; Jis Ko Dekha Hi Nahi Us Ko Khudaa Kehte Hain! |
Mujhse Mere Gunahon Ka Hisab Na Maang Ai Khuda; Meri Taqdeer Likhne Mein Kalam Teri Hi Chali Hai! |