Rahiye Ab Aisi Jagha Chal Kar Jahan Koi Na Ho; Hum-Sukhan Koi Na Ho, Aur Hum-Zubaan Koi Na Ho; Parriye Gar Beemar To Koi Na Ho Teemar'daaar; Aur Agar Mar Jaayiye To Noha-Khuwaa'n Koi Na Ho! Translation: Teemar'daaar = Caretaker Noha-Khuwaa'n = Reciter |
Ek Toote Hue Dil Ki Aawaaz Mujhe Kahiye; Sur Jismein Hai Sab Gum Ke Woh Saaz Mujhe Kahiye; Main Kaun Hoon Aur Kyaa Hoon Kiske Liye Zindaa Hoon; Main Khud Bhi Nahi Samjha Woh Raaz Mujhe Kahiye! |
Wo Keh Ke Chale Wo Keh Ke Chale Itni Mulaqat Bahut Hai; Maine Kaha Ruk Jao Abhi Raat Bahut Hai; Aansoo Mere Thum Jayein To Phir Shaunq Say Jana; Aisay Mein Kahan Jaogi Barsaat Bahut Hai; Wo Kehne Lagi Jana Mera Bahut Zaroori Hai; Nahi Chahti Dil Todun Tera Par Majboori Hai; Gar Hui Ho Koi Khata To Maaf Ker Dena; Maine Kaha Ho Jao Chup Itni Kahi Baat Bahut Hai; Samajh Geya Hu Sab Aur Kuch Kaho Zaroori Nahi; Bas Aaj Ki Raat Ruk Jao, Jana Itna Bhi Zaroori Nahi Hai; Phir Kabhi Na Aaonga Tumhari Zindagi Mein Laut Ke; Saari Zindagi Tanhayee Ke Liye, Aaj Ki Raat Bahut Hai; |
Bahut Sahi Gam-e-Geti Bahut Sahi Gam-e-Geti Sharab Kam Kya Hai; Gulam-e-Saqi-e-Kausar Hun Mujhko Gam Kya Hai; Tumhari Tarz-o-Rawish Jante Hain Ham Kya Hai; Raqib Par Hai Agar Lutf To Sitam Kya Hai; Sukhan Mein Khama-e-Galib Ki Atashfashani; Yaqin Hai Hamko Bhi Lekin Ab Us Mein Dam Kya Hai! |
Kehte Toh Ho Yun Kehte, Yun Kehte Jo Yaar Aata; Sab Kehne Ki Baat Hai, Kuch Bhi Nahi Kaha Jata! |
Ki Humse Wafaa Toh Gair Usko Jafa Kehte Hain; Hoti Aayi Hai, Ki Acchi Ko Buri Kehte Hain! |
Main Nadaan Tha Jo Wafa Ko Talash Karta Raha 'Ghalib'; Yeh Bhi Na Socha Ke Apni Saans Bhi Ek Din Bewafaa Ban Jayegi! |
Bana Kar Faqeeron Ka Hum Bhes 'Ghalib'; Tamasha Ehl-e-Karam Dekhte Hain! |
Chaandni Raat Ke Khamosh Sitaron Ki Qasam; Dil Mein Ab Tere Siwa Koi Bhi Aabad Nahi! |
Muskan Banaye Rakho To Sab Saath Hain Ghalib; Varna Ansuon Ko Toh Aankhon Mein Bhi Pnaah Nahi Milti! |