Baat To Kirdar Ki Hoti Hai Ghalib; Warna Qad Mein Toh Saya Bhi Insan Se Bada Hota Hai! |
Is Qadar Toda Hai Mujhe Us Ki Be-Wafaai Ne; Ghalib Ab Koi Agar Pyar Se Bhi Daikhe Toh Bikhar Jata Hoon Main! |
Woh Dil Mein Hai; Dhadkan Mein Hai; Rooh Mein Hai Ghalib; Sirf Kismat Mein Nahi Hai To Khuda Se Gila Kaisa! |
Jab Se Dekhi Hai Hamne Duniya Kareeb Se; Lagne Lage Hain Saare Rishte Ajeeb Se! |
Ah Ko Chahiye Ah Ko Chahiye Ik Umr Asar Hone Tak; Kaun Jita Hai Teri Zulf K Sar Hone Tak; Dam Har Mauj Mein Hai Halqa-e-Sadkam-e-Nahang; Dekhen Kya Guzare Hai Qatre Pe Gauhar Hone Tak; Ashiqi Sabr-Talab Aur Tamanna Betab; Dil Ka Kya Rang Karun Khun-e-Jigar Hone Tak; Ham Ne Mana K Taaful Na Karoge Lekin; Khak Ho Jayenge Ham Tum Ko Khabar Hone Tak! |
Saray Raah Jo Unsay Nazar Mili; To Naksh Dil Kay Ubhar Gaye; Hum Nazar Mila Kar Jhijag Gaye; Vo Nazar Jhuka Kar Chale Gaye! |
Unke Dekhe Se Jo Aa Jaati Hai Munh Par Raunaq; Woh Samajhte Hain Ke Beemaar Ka Haal Achcha Hai! |
Aina Kyun Na Dun Aina Kyun Na Dun K Tamasha Kahen Jise; Aisa Kahan Se Laun K Tujhsa Kahen Jise; Hasrat Ne La Rakha Teri Bazm-e-Khayal Mein; Guldasta-e-Nigah Suweda Kahen Jise; Phunka Hai Kisne Goshe Muhabbat Mein Ai Khuda; Afsun-e-Intezar Tamanna Kahen Jise; Sar Par Hujum-e-Dard-e-Garibi Se Daliye; Wo Ek Musht-e-Khak K Sahra Kahen Jise; Hai Chashm-e-Tar Mein Hasrat-e-Didar Se Nihan; Shauq-e-Inan Gusekhta Dariya Kahen Jise; Darkar Hai Shiguftan-e-Gul Haye Aish Ko; Subh-e-Bahar Panba-e-Mina Kahen Jise; Ghalib? Bura Na Man Jo Waiz Bura Kahe; Aisa Bhi Koi Hai K Sab Acha Kahen Jise! |
Huyi Muddat Ke Ghalib Mar Gaya Par Yaad Aata Hai; Har Ek Baat Pe Kahna Ke Yun Hota To Kya Hota! |
Tu Wo Zaalim Hai Jo Dil Mein Reh Kar Bhi Mera Na Ban Saka 'Ghalib'; Aur Dil Wo Kafir Jo Mujh Mein Reh Kar Bhi Tera Hogaya! |