Hai Mushtamil Numood-e-Suvar Par Wijood-e-Bahr; Yan Kya Dhara Hai Qatra-o-Mauj-o-Hubab Mein! Translation: What appears as confirmation of the Ocean's actuality, Is it merely a sum total of wave, drop, phosphorescence. |
Aah Ko Chahiye Ek Umr Aah Ko Chahiye Ek Umr Asar Hone Tak; Kaun Jeeta Hai Tere Zulf Ke Sar Hone Tak; Aashiqii Sabr Talab Aur Tamannaa Betaab; Dil Ka Kya Rang Karun Khoon-e-Jigar Hone Tak; Hum Ne Maana Ki Tagakul Na Karoge Lekin; Khaak Ho Jayenge Hum Tum Ko Khabar Hone Tak; Gam-e-Hasti Ka Asad Kis Se Ho Kuz-Marg-e-Ilaaj; Shamaa Har Rang Mein Jalati Hai Sehar Hone Tak! |
Utna Hi Mujhko Apni Haqeeqat Se Bood Hai; Jitna Ki Vahm-e-Ghair Se Hoon Pech-o-Taab Mein! Translation: I am equidistanced from my own reality, In proportion to the illusion of otherness. |
Rau Mein Hai Rakhsh-e-Umr Kahan Dekhiye Thamey; Na Haath Baag Par Hai Na Pa Hai Rakab Mein! Translation: The horseman of life speeds by, where can it be stopped, There are no hands on the reins, no feet in the stirrups. |
Jaan Kyon Nikalne Lagi Hai Tan Se Dam-e-Sama; Gar Woh Sada Samaai Hai Chang-o-Rabab Mein! Translation: Listening, why does a soul struggle to leave its body, If the divine voice resides in the instruments before us. |
Hain Aaj Kyon Zaleel Ke Kal Tak Na Thi Pasand; Gustakhi-e-Farishta Hamare Janab Mein! Translation: Why today so disgraced, when yesterday was impermissible. An angel's arrogant refusal to bow for me. |
Kal Ke Liye Kar Aaj Na Khisat Sharab Mein; Yeh Suu-e-Zan Hai, Saqi-e-Kausar Ke Baab Mein! Translation: Why Parsimony today in the promise of tomorrow's imbibing. This surely is an insult to the generosity of heaven's thirst-quencher. |
Dukh De Kar Dukh De Kar Sawal Karte Ho; Tum Bhi Ghalib Kamaal Karte Ho; Dekh Kar Puch Liya Haal Mera; Chalo Kuch To Khayaal Karte Ho; Shehar-e-Dil Mein Ye Udasiyan Kaisi; Ye Bhi Mujhse Sawaal Karte Ho; Marna Chahe To Mar Nahi Sakte; Tum Bhi Jeena Muhaal Karte Ho; Ab Kis Kis Kee Misaal Dun Tumko; Har Sitam Be-Misaal Karte Ho! |
Aata Hai Daag-e-Hasrat-e-Dil Ka Shumar Yaad; Mujh Se Mere Gunnah Ka Hisaab Ai Khudaa Na Maang! |
Aah Ko Chaahiye Aah Ko Chaahiye Ik Umr Asar Hote Tak; Khaak Ho Jayenge Hum Tum Ko Khabar Hote Tak; Kaun Jeetaa Hai Teri Zulf Ke Sar Hote Tak; Dil Ka Kyaa Rang Karun Khoon-e-Jigar Hote Tak; Dekhen Kya Guzre Hai Qatre Pe Guhar Hote Tak; Garmi-e-Bazm Hai Ik Raqs-e-Sharar Hote Tak; Gam-e-Hasti Ka Asad Kis Se Ho Jooz Marg Ilaaj; Hum Ne Maana Ki Tagaful Na Karoge Lekin; Partav-e-Kur se Hai Shabnam Ko Fanaa Ki Taalim; Shama Har Rang Mein Jalti Hai Sahar Hote Tak; Main Bhi Hun Ek Inaayat Ki Nazar Hote Tak; Yak Nazar Besh Nahin Fursat-e-Hasti Gaafil! |