Saaqi Gayi Bahaar Dil Mein Rahee Havas; Tu Minnaton Sey Jaam Dey Aur Main Kahoon Key 'Bas!' |
Ishq Sey Tabeeyat Ney Zeest Ka Mazaa Paaya; Dard Kee Davaa Paayee Dard-e-la-davaa Paaya! Zeest = Lust for living |
Jab Yaar Ney Utthaa Kar Zulfon Key Baal Baandhey; Tab Mainey Apney Dil Mein Laakhon Khayaal Baandhey! |
Sab Ke Dil Mein Hai Jagah Teri, Jo Tu Raazi Hua; Mujh Pe Goya Ik Zamaana Mehrbaan Ho Jaeega! |
Hazaaron Khwahishein Aisi Ki Har Khwahish Pe Dum Nikle; Bahut Nikle Mere Armaan, Lekin Phir Bhi Kum Nikle. Nikalna Khuld Se Aadam Ka Sunte Aaye The, Lekin; Bahut Beaabru Hokar Tere Kuche Se Hum Nikle! |
Ghuncha-e-Na Shagufta Ko Door Se Mat Dikha Ke Yoon; Bosa Ko Poochhta Hoon Main, Munh Se Mujhe Bata Ke Yoon! Ghuncha-e-Na = Show me not Shagufta = Far Bosa + Kiss |
Unke Dekhe Se Jo Aa Jaati Hai Munh Pe Raunaq; Woh Samajhte Hain Ke Beemaar Ka Haal Achcha Hai! |
Mehrbaan Hokey Bulaalo Mujhey Chaaho Jis Waqt: Main Geya Waqt Naheen Hoon Ki Phir Aa Bhee Na Sakoon! |
Ghalib Bura Na Maan Jo Vaiz Bura Kahe; Aisa Bhi Koi Hai Ke Sab Acha Kahein Jisse! |
Zindagi Uski Jiss Ki Mout Pe Zamaana Afsos Karay, Ghalib; Youn To Har Shaks Aata Hai Iss Dunia Main Marney Ke Liye! |