Ishq Se Tabiyat Ne Zeest Ka Mazaa Paya; Dard Ki Dawa Paai Dard Be Dawa Paya! |
Ik Khel Hai Aurag-e-Sulemaan, Mere Nazdeek; Ik Baat Hai Ajaaz-e-Maseeha Mere Aage! |
Jise Naseeb Ho Roz-e-Seah Mera Sa; Woh Shakhs Din Na Kahe Raat Ko, Tou Kyonkar Ho! Translation: Roz-e-Seah = Day Is Black |
Qatra Mein Dajla Dikhaai Na De, Aur Juzw Mein Kul; Khel Larkon Ka Hua, Deeda-e-Beena Na Hua! Translation: Deeda-e-Beena = Discerning Eye |
Kavkav-e-Sakht Jani Hai Tanhai, Na Puchh; Subh Karna Sham Ka, Lana Hai Ju-e-Shir Ka! Translation: Kavkav = Continuous beating of hard stone with a sharp object Sakht Jani Hai = Ability to bear extreme agony Ju-e Shir Ka = Channel of milk |
Abhi Mashroof Hun Kafi Kabhi Fursat Mein Sochunga; Ke Tujhko Yaad Rakhne Me Mai Kya-Kya Bhool Jata Hun! |
Hairat He Tum Ko Dekh Kar Misjid Main Ae! Insaan; Aaj Kya Baat Ho Gai Jo Khuda Yaad Aa Gaya! |
Saadgi Par Uski Marjaane Ki Hasrat Dil Mein Hai; Bas Nahin Chalta Ki Phir Khanjarkaf-E-Qaatil Mein Hai! |
Zikar Us Pariwash Ka Aur Bayaan Apna; Ban Gaya Raqeeb Aakhir, Tha Jo Raazdaan Apna! Raqeeb = Rival |
Dil Kis Qadar Shagufta Hua Thha Ki Raat Meer; Aai Jo Baat Lab Pey So Fariyaad Ho Gayee Shagufta = Flourished |