Imaan Mujhe Roke Hai Jo Khiche Hai Mujhe Kufr; Ka'aba Mere Peechhe Hai Kaaisa Mere Aage! |
Hum Ne Mohbaton Ke Nashe Mein Aa Kar Useh Khuda Bana Dala; Hosh Tab Aaya Jab Us Ne Kaha Ke Khuda Kisi Ek Ka Nahi Hota! |
Humne Maana Ke Taghaful Na Karoge Lekin; Khaak Ho Jaenge Hum Tum Ko Khabar Hone Tak! |
Kee Mere Qatl Ke Baad Usne Jafa Se Tauba; Haay Us Zood Pashemaan Ka Pashemaan Hona! Translation: Jafa = Oppression Zood = Quickly Pashemaan = Ashamed, Embarrassed |
Jalva Az_Bas Ki Taqaaza-e-Nigah Karta Hai; Jauhar-e-Aaina Bhee Chaahe Hai Mizhgaan Hona! Translation: Az = From/Then/By Jauhar = Skill/Knowledge Mizhgaan = Eyelid |
Giriya Chaahe Hai Kharaabee Mere Kaashaane Ki; Dar-o-Deevaar Se Tapke Hai Bayaabaan Hona! Translation: Giriya = Weeping Kaashaana = House Bayaabaan = Wilderness |
Bus Ki Dushwaar Hai Har Kaam Ka Aasaan Hona; Aadmee Ko Bhee Muyassar Naheen Insaan Hona! Translation: Dushwaar = Difficult Muyassar = Possible |
Haif Us Chaar Girah Kapde Ki Qismat 'Ghalib'; Jis Ki Qismat Mein Ho Aashiq Ka Girebaan Hona! Translation: Haif = Alas Girah = One Sixteenth Of A Yard Girebaan = Collar |
Ishq Per Zor Nahin, Yeh Woh Aatish Ghalib; Ke Lagaaye Na Lage Aur Bujhaaye Na Bujhay! |
Tum Na Aaoge Toh Marne Ki Hai Soa Tadbeere; Maut Kuch Tum Toh Nahi Ho Ki Bula Bhi Na Saku! Translation: Tadbeere = Deliberation, Plan |