Ye Na Thi Hamari Kismat Ke Visaal-e-Yaar Hota; Agar Aur Jeetey Rehtey, Yehi Intezaar Hota! |
Har Ek Baat Pe Kehte Ho Tum Ke 'Tu Kya Hai'; Tumhee Kaho Ke Yeh Andaaz-e-Guftgoo Kya Hai! |
Peenay Dai Sharab Masjid Main Baid Kay Ghalib; Ya Woh Jaga Bata Jahan Khuda Nehen Hai! |
Be-Khudi Be-Sabab Nahi'n 'Ghalib'; Kuchh To Hai Jis Ki Parda-Daari Hai! |
Qaasid Ke Aate Aate Khat Ek Aur Likh Rakkhun; Main Jaanta Hoon Jo Wo Likhenge Jawaab Mein! |
Jee Dhoondta Hai Phir Wahi Fursat Ke Raat Din; Baithe Rahein Tasawwur-e-Janaan Kiye Hue! |
Hai Khabar Garam Unke Aane Ki; Aaj Hi Ghar Mein Borya Na Hua! |
Tu Woh Zaalim Hai Jo Dil Mein Reh Kar Bhi Mera Na Ban Saka 'Ghalib'; Aur Dil Wo Kafir Jo Mujh Mein Reh Kar Bhi Tera Hogaya! |
Hazaaron Khawahishein Aisi Ke Har Khawahish Par Dum Nikle; Bohut Nikle Mere Armaan, Lekin Phir Bhi Kum Nikle! |
Main Bhi Moonh Mein Zabaan Rakhta Hoon; Kash Poochho Ke Mudda'a Kya Hai! |