Peenay Dai Sharab Masjid Main Baid Kay Ghalib; Ya Woh Jaga Bata Jahan Khuda Nehen Hai! |
Aaina Kyu Na Doon Aaina Kyu Na Doon Ke Tamasha Kahe Jise; Aisa Kaha Se Laau Ke Tujhasa Kahe Jise Hasrat Ne La Rakha Teri Bazm-e-Khayal Me; Guldasta-e-Nigaah Suveda Kahe Jise; Phoonka Hai Kisne Goshe Mohabbat Mein Aye Khuda; Afasuun-e-Intazar Tamanna Kahe Jise; Sar Par Hajum-e-Dard-e-Garibi Se Daliye; Wo Ek Musht-e-Khak Ke Sahara Kahe Jise; Hai Chashm-e-Tar Me Hasarat-e-Diidar Se Niha; Shauq-e-Ina Gusekhta Dariya Kahe Jise; Darakar Hai Shiguftan-e-Gul Haye Aish Ko; SubH-e-Bahar Paba-e-Miina Kahe Jise; Ghalib Bura Na Man Jo Vaiz Bura Kahe; Aisa Bhii Koii Hai Ke Sab Achchha Kahe Jise! |
Be-Khudi Be-Sabab Nahi'n 'Ghalib'; Kuchh To Hai Jis Ki Parda-Daari Hai! |
Qaasid Ke Aate Aate Khat Ek Aur Likh Rakkhun; Main Jaanta Hoon Jo Wo Likhenge Jawaab Mein! |
Jee Dhoondta Hai Phir Wahi Fursat Ke Raat Din; Baithe Rahein Tasawwur-e-Janaan Kiye Hue! |
Hai Khabar Garam Unke Aane Ki; Aaj Hi Ghar Mein Borya Na Hua! |
Tu Woh Zaalim Hai Jo Dil Mein Reh Kar Bhi Mera Na Ban Saka 'Ghalib'; Aur Dil Wo Kafir Jo Mujh Mein Reh Kar Bhi Tera Hogaya! |
Hazaaron Khawahishein Aisi Ke Har Khawahish Par Dum Nikle; Bohut Nikle Mere Armaan, Lekin Phir Bhi Kum Nikle! |
Main Bhi Moonh Mein Zabaan Rakhta Hoon; Kash Poochho Ke Mudda'a Kya Hai! |
Imaan Mujhe Roke Hai Jo Khiche Hai Mujhe Kufr; Ka'aba Mere Peechhe Hai Kaaisa Mere Aage! |