Hum Ne Mohbaton Ke Nashe Mein Aa Kar Useh Khuda Bana Dala; Hosh Tab Aaya Jab Us Ne Kaha Ke Khuda Kisi Ek Ka Nahi Hota! |
Dukh Day Kar Dukh Day Kar Sawaal Kartay Ho; Tum Bhi Ghalib ! Kamaal Kartay Ho; Dekh Kar Pooch Liyaa Haal Meraa; Chalo Kuch Tou Khayaal Kartay Ho; Shehar -e- Dil May Ye Udaasiyaan Kaisi; Ye Bhi Mujh Say Sawaal Kartay Ho; Marnaa Chaahain Toh Mar Nahe Saktay; Tum Bhi Jeenaa Muhaal Kartay Ho; Aab Kiss Kis Ki Misaal Doon Tum Ko; Her Sitam Bay-Misaal Kartay Ho! |
Hum Ko Unse Wafa Ki Hai Ummeed; Jo Nahi Jaante Wafa Kya Hai! |
Humne Maana Ke Taghaful Na Karoge Lekin; Khaak Ho Jaenge Hum Tum Ko Khabar Hone Tak! |
Le Gaye Khaak Mein Ham Daagh-e-Tamanna-e-Nishaat; Too Ho Aur Aap Ba-Sad-Rang-e-Gulistaan Hona! Translation: Nishaat (or Nashaat) = Enthusiasm/Happiness Ba-Sad-Rang = Hundred Colours |
Kee Mere Qatl Ke Baad Usne Jafa Se Tauba; Haay Us Zood Pashemaan Ka Pashemaan Hona! Translation: Jafa = Oppression Zood = Quickly Pashemaan = Ashamed, Embarrassed |
Jalva Az_Bas Ki Taqaaza-e-Nigah Karta Hai; Jauhar-e-Aaina Bhee Chaahe Hai Mizhgaan Hona! Translation: Az = From/Then/By Jauhar = Skill/Knowledge Mizhgaan = Eyelid |
Dil Hii To Hai Dil Hii To Hai, Na Sang-o-Khisht, Dard Se Bhar Na Aaye Kyuun; Royenge Ham Hazaar Baar, Koii Hamen Sataaye Kyuun; Dair Nahiin, Haram Nahiin, Aastaan Nahiin; Baithe Hain Rahguzar Pe Ham, Ghair Hamen Uthaaye Kyuun; Qaid-e-Hayaat-o-Band-e-Gham Asl Men Donon Ek Hain; Maut Se Pahale Aadmii Gham Se Najaat Paaye Kyuun; Jab Voh Jamaal-e-Dil-Faroz, Surat-e-Meher-Neemroz; Aap Hii Ho Nazara-Soz, Parde Men Munh Chhupaaye Kyuun; Dashna Ghamza Jaansitaan, Naavak-e-Naaz Be-Panaah; Teraa Hii Aks-e-Rukh Sahil Saamne Tere Aaye Kyuun; Ghaalib-e-Khastaa Ke Baghair Kaun Se Kaam Band Hain; Roiye Zaar Zaar Kyuun? Kiijiye Haay, Haay Kyuun! Translation: Dair = Temple |
Giriya Chaahe Hai Kharaabee Mere Kaashaane Ki; Dar-o-Deevaar Se Tapke Hai Bayaabaan Hona! Translation: Giriya = Weeping Kaashaana = House Bayaabaan = Wilderness |
Bus Ki Dushwaar Hai Har Kaam Ka Aasaan Hona; Aadmee Ko Bhee Muyassar Naheen Insaan Hona! Translation: Dushwaar = Difficult Muyassar = Possible |