Haif Us Chaar Girah Kapde Ki Qismat 'Ghalib'; Jis Ki Qismat Mein Ho Aashiq Ka Girebaan Hona! Translation: Haif = Alas Girah = One Sixteenth Of A Yard Girebaan = Collar |
Har Ek Baat Pe Kehte Ho Har Ek Baat Pe Kehte Ho Tum Ke 'Toh Kya Hai'; Tumheen Kaho Ke Yeh Andaaz-e-Guftgoo Kya Hai; Ragon Mein Daudte Firne Ke Ham Naheen Qaayal; Jab Aankh Hee Se Na Tapka To Fir Lahoo Kya Hai; Chipak Raha Hai Badan Par Lahoo Se Pairaahan; Hamaaree Jeb Ko Ab Haajat-e-Rafoo Kya Hai; Jalaa Hai Jism Jahaan Dil Bhee Jal Gaya Hoga; Kuredate Ho Jo Ab Raakh, Justjoo Kya Hai; Rahee Na Taaqat-e-Guftaar, Aur Agar Ho Bhee; To Kis Ummeed Pe Kahiye Ke Aarzoo Kya Hai! |
Ishq Per Zor Nahin, Yeh Woh Aatish Ghalib; Ke Lagaaye Na Lage Aur Bujhaaye Na Bujhay! |
Tum Na Aaoge Toh Marne Ki Hai Soa Tadbeere; Maut Kuch Tum Toh Nahi Ho Ki Bula Bhi Na Saku! Translation: Tadbeere = Deliberation, Plan |
Wo Aaye Ghar Mein Hamare Khuda Ki Kudrat Hai; Kabhi Hum Unko Kabhi Apne Ghar Ko Dekhte Hain! |
Ishq Se Tabiyat Ne Zeest Ka Mazaa Paya; Dard Ki Dawa Paai Dard Be Dawa Paya! |
Ik Khel Hai Aurag-e-Sulemaan, Mere Nazdeek; Ik Baat Hai Ajaaz-e-Maseeha Mere Aage! |
Baske Hun Ghalib Asiri Men Bhi Atish Zer Pa; Mue Atish Dida Hai Halqa Meri Zanjir Ka! Translation: Baske = Whereas Atish Zer Pa = Impatient Mue Atish = Heat Damaged Hair Halqa = Ring |
Jise Naseeb Ho Roz-e-Seah Mera Sa; Woh Shakhs Din Na Kahe Raat Ko, Tou Kyonkar Ho! Translation: Roz-e-Seah = Day Is Black |
Qatra Mein Dajla Dikhaai Na De, Aur Juzw Mein Kul; Khel Larkon Ka Hua, Deeda-e-Beena Na Hua! Translation: Deeda-e-Beena = Discerning Eye |