Kavkav-e-Sakht Jani Hai Tanhai, Na Puchh; Subh Karna Sham Ka, Lana Hai Ju-e-Shir Ka! Translation: Kavkav = Continuous beating of hard stone with a sharp object Sakht Jani Hai = Ability to bear extreme agony Ju-e Shir Ka = Channel of milk |
Naqsh Faryadi Hai Kis Ki Shokhi Takhir Ka; Kaghazi Hai Pairahan Her Paikar-e-Tasvir Ka! Translation: Naqsh = Mark Faryadi = Pleader Shokh = Playful Tahrir = Writing Pairahan = Clothes Paikar = Face |
Aadam Ka Jism Kab Aadam Ka Jism Kab Ke Anaasir Se Mil Bana; Kuchh Aag Bach Rahi Thi, So Aashiq Ka Dil Bana; Sar Garam-E-Nala In Dinon Main Bhi Hoon, Andleeb; Mat Aashian Chaman Mein Mere Mutsil Bana; Jab Teesha Kohkan Ne Liya Haath, Tab Yeh Ishq; Bola Ke Apni Chhati Pe Dharne Ko Sil Bana; Jis Teergi Se Roz Hai Ushaaq Ka Seaah; Shaaid Usi Se Chehre-E-Khubaan Pe Til Bana; Lab Zindagi Mein Kab Mile Us Lab Se, Ai Kalaal; Saagar Hamaari Khaak Ko Math Karke Gil Bana; Apne Hunar Dikha Denge Hum Tujhko Sheesha Gar; Toota Hua Kisi Ka Agar Hum Se Dil Bana; Sun Sun Ke Arz-E-Haal Mera Yaar Ne Kaha; Sauda Na Baaten Baith Ke Yaan Mutsil Bana! Translation: Andleeb = Nightingale Chehre-e-Khubaan = Beauty's Face Arz-e-Haal = Tale Of Woe |
Har Ek Baat Pe Kahte Ho Har Ek Baat Pe Kahate Ho Tum, Ki Tuu Kyaa Hai; Tumhi Kaho Ke, Ye Andaaz-E-Guftagu Kyaa Hai; Ragon Mein Daudte Phirane Ke Ham Nahi Qaayal; Jab Aankh Hi Se Na Tapkaa To Phir Lahuu Kyaa Hai; Chipak Rahaa Hai Badan Par Lahuu Se Pairaahan; Hamari Jeb Ko Ab Haajat-E-Rafuu Kyaa Hai; Jalaa Hain Jism Jahaan, Dil Bhii Jal Gayaa Hogaa; Kuredte Ho Jo Ab Raakh, Justajuu Kyaa Hai! Translation: Haajat-E-Rafuu: Mending Justajuu: Desire |
Har Ek Baat Pe Kahte Ho Har Ek Baat Pe Kahate Ho Tum, Ki Tu Kyaa Hai; Tumhi Kaho Ke, Ye Andaaz-E-Guftagu Kyaa Hai; Ragon Mein Daudte Phirane Ke Ham Nahi Qaayal; Jab Aankh Hi Se Na Tapkaa To Phir Lahuu Kyaa Hai; Chipak Rahaa Hai Badan Par Lahuu Se Pairaahan; Hamari Jeb Ko Ab Haajat-E-Rafuu Kyaa Hai; Jalaa Hain Jism Jahaan, Dil Bhii Jal Gayaa Hogaa; Kuredte Ho Jo Ab Raakh, Justajuu Kyaa Hai! Translation: Haajat-E-Rafuu: Mending Justajuu: Desire |
Abhi Mashroof Hun Kafi Kabhi Fursat Mein Sochunga; Ke Tujhko Yaad Rakhne Me Mai Kya-Kya Bhool Jata Hun! |
Hairat He Tum Ko Dekh Kar Misjid Main Ae! Insaan; Aaj Kya Baat Ho Gai Jo Khuda Yaad Aa Gaya! |
Aah Ko Chaahiye Aah Ko Chaahiye Ik Umar Asar Hone Tak; Kaun Jiitaa Hai Terii Zulf Ke Sar Hone Tak; Aashiqii Sabartalab Aur Tamannaa Betaab; Dil Kaa Kyaa Rang Karun Khuunejigar Hone Tak; Ham Ne Maanaa Ke Tagaaful Na Karoge Lekin; Khaak Ho Jaayenge Ham Tumako Khabar Hone Tak; Gamehastii Kaa 'Asad' Kis Se Ho Juz Marg Ilaaj; Shamm'a Har Rang Men Jaltii Hai Sahar Hone Tak! Translation: Sar: Beginning Sabr-Talab: Suppressed Desires Tagaaful: Apathy, Ignore Gham-E-Hastii: Life Of Sorrow Asad: A Reference To The Poet, Mirza Ghalib |
Toote Teri Nigah Se Toote Teri Nigah Se Agar Dil Habaab Ka; Paani Bhi Phir Piein To Maza Hai Sharaab Ka; Dozakh Mujhe Qabool, Ai, Munkir-O-Nakeer; Lekin Nahin Dimagh Sawaal-O-Jawab Ka; Tha Kis Ke Dil Ko Kashmkash-E-Ishq Ka Dimagh; Yaarab Bura Ho Deeda-E-Khana-Kharaab Ka; Zahid Sabhi Hai Neimat-E-Haq Jo Hai Aql-O-Sharb; Lekin Ajab Maza Hai Sharaab-O-Kabaab Ka; Ghaafil Ghazab Se Ho Ke Karam Par Na Rakh Nazar; Pur Hai Sharar-E-Baraq Se Daaman Sahaab Ka; Qatra Gira Tha Choo Ke Mere Ashk-E-Garam Se; Darya Mein Hai Hanzooz Phaphola Habaab Ka; Sauda, Nigah-E-Deeda-E-Tahqiq Ke Hazur; Jalwa Har Ek Zarre Mein Hai Aaftaab Ka! Translation: Dozakh: Suffer In Hell Munkir-O-Nakeer: Angels Divine Sharar-E-Baraq: Vernal Cloud Rain And Fire Combine |
Zulaam Hai Gar Na Zulaam Hai Gar Na Do Sakhun Ki Daad; Qahar Hai Gar Karo Na Mujhko Payaar; Aapka Banda Aur Phiroon Nanga; Aap Ka Naukar Aur Khaaoon Udhaar; Meri Tankhwah Kijeye Maah Ba Maah; Ta Na Ho Mujhko Zindagi Dushwaar; Khatam Karta Hoon Ab Dua Pe Kalaam; Shaairy Se Nahin Mujhe Sarokaar; Tum Salaamat Raho Hazaar Baras; Har Baras Ke Hon Din Pachaas Hazaar! Translation: Qahar Hai Gar Karo: How Terrible Shaairy Se Nahin: Poetic Meeds |