Badla Tere Sitam Ka Badla Tere Sitam Ka Koi Tujh Se Kya Kare; Apna Hi Tu Farefta Hove, Khuda Kare; Qaatil Hamari Naash Ko Tash-Hir Hai Zarur; Aainda Ta Koi Na Kisi Se Wafa Kare; Fikr-E-Maash, Ishq-E-Butaan, Yaad-E-Raftgaan; Do Din Ki Zindagi Mein Ab Koi Kya Kya Kiya Kare; Aalam Ke Beech Phir Na Rahe Rasm-E-Aashqi; Gar Neem Lab Koi Tere Shikwe Se Waa Kare; Gar Ho Sharaab-O-Khilwat-O-Mahboob-E-Khub Roo; Zaahid Qasam Hai Tujh Ko Jo Tu Ho Tau Kya Kare; Khaakastr-O-Patang-O-Mashahd Meri Ki Khaak; Sham-O-Shafaq Ajab Ho Jo Mil Kar Ura Kare; Ai Waae Bar Aseer, Ke Par Tor Kar Jise; Sayyaad Fasl-E-Gul Mein Chaman Se Riha Kare! Translation: Farefta : Fall In Love With Own Face Fikr-E-Maash: Concerns Of Life Ishq-E-Butaan: Claims Of Love Yaad-E-Raftgaan: Remembering Those Bygone Rasm-E-Aashqi: Creed Of Love Sham-O-Shafaq : Dust Of Moth |
Rone Se Aur Ishq Mein Rone Se Aur Ishq Mein Bebaak Ho Gaye; Dhoey Gaye Hum Aise, Ke Bas Paak Ho Gaye; Sarf-E-Bahaa-E-Main Hue, Aalaat-E-Maikashi; The Yeh Hi Do Hisaab, So Yoon Paak Ho Gaye; Ruswaa-E-Dahar Go Hue Aawaargi Se Tum; Baare Tabeeaton Ke Tau Chalaak Ho Gaye; Kahta Hai Kaun Naala-E-Bulbul Ko Be Asar; Parde Mein Gul Le Laakh Jigar Chaak Ho Gaye; Poochhe Hai Kya Wajood-O-Adam Ahl-E-Shauq Ka; Aap Apni Aag Ke Khas-O-Khashaak Ho Gaye; Karne Gaye The Us Se, Taghaaful Ka Hum Gila; Ki Ek Hi Nigah, Ke Bas Khaak Ho Gaye; Is Rang Se Uthai Kal Us Ne Asad Ki Naash; Dushman Bhi Jisko Dekh Ke Ghumnaak Ho Gaye! Translation: Sarf-E-Bahaa-E-Main : Sold Everything Aalaat-E-Maikashi: Wine Naala-E-Bulbul: Nightingale Wajood-O-Adam Ahl-E-Shauq Ka: Lovers Passion |
Saadgi Par Uski Marjaane Ki Hasrat Dil Mein Hai; Bas Nahin Chalta Ki Phir Khanjarkaf-E-Qaatil Mein Hai! |
Jaan Tujh Par Nisaar Karta Hoon; Main Nahin Jaanta Dua Kya Hai! |
Bekhudi Besabab Nahin Ghalib; Kuchh Tau Hai Jiski Parda Daari Hai! |
Aashiq Hoon Par Maashooq Farebi Hai Mera Kaam; Majnoon Ko Bura Kahti Hai Laila Mere Aage! |
Bulbul Ke Kaarobaar Pe Hain Khandahaae Gul; kahte hain ishq jisko khalal hai dimagh ka! |
Koi Din Gar Zindgaani Koi Din Gar Zindgaani Aur Hai; Apne Ji Mein Hum Ne Thaani Aur Hai; Aatish-E-Dozakh Mein Yeh Garmi Kahaan; Soz-E-Ghumhaae nihaani Aur Hai; Baarha Dekhi Hain Unki Ranjishen; Par Kuchh Ab Ke Sargaraani Aur Hai; De Ke Khat Munh Dekhta Hai Naama Bar; Kkujchh Tau Paighaam -E-Zabaani Aur Hai; Qaata-E-Aamaar Hain Aksar Najoom; Woh Balaa -E-Aasmaani Aur Hai; Ho Chukin Ghalib Balaaen Sab Tamaam; Ek Marg-E-Naagahaani Aur Hai! |
Kaha Majnu Se Kaha Majnun Se Yah Laila Ki Maa Ne; Ki Beta Tu Agar Kar Le M.A Pass; Tau Fauran Beaah Doon Laila Ko Tujhse; Bina Diqqat Main Ban Jaaoon Teri Saas; Kaha Majnun Ne Yah Achchhi Sunaai; Kuja Aashiq Kuja College Ki Bakwaas; Kuja Yah Fitrati Josh-E-Tabiyat; Kuja Thaunsi Hui Cheezon Ka Ahsaas; Bari Bhi Aapko Kya Ho Gaya Hai; Hiran Mein Laddi Jaati Hai Kahin Ghass; Yah Abhi Hi Qadardani Aap Ne Ki; Mujhe Samjha Hai Koi Harcharan Das; Dil Apna Khoonkarne Ko Hoon Maujood; Nahin Manzoor Maghz-E-Sar Ka Aamaas; Yahi Teri Hai Shart-E-Wasl-E-Laila; Tau Isteefa Mera Ba Hasrat O Yaas! |
Giri Tabassum Ki Bijli... Giri Is Tabassum Ki Bijali Ajal Par; Andhere Ka Ho Noor Mein Kya Guzara; Justjoo Jis Gul Ki Tarpati Thi Ai Bulbul Mujhe; Khoobi-e-Qismat Se Aakhir Mil Gaya Woh Gul Mujhe; Parwana Tujhse Karta Hai Ai Shama Pyaar Kyon; Ye Jaane Beqaraar Hai Tujh Par Nisar Kyon; Qismat Buri Sahi Par Tabiyat Buri Nahin; Hai Shukr Ki Jagah Ki Shikayat Nahin Mujhe; Zulm Hai Gar Na Do Sakun Ki Daad; Qahar Hai Gar Karona Mujhko Pyaar; Hoga Koi Aisa Bhi Ki Ghalib Ko Na Jaane; Shayar Toh Wah Achchha Hai Par Badnaam Bahut Hai! |