Aashiqui Sabr Talab Aur Tamanna Betab; Dil Ka Kya Rang Karun Khoon-e-Jigar Hone Tak! |
Ye Fitna Aadami Ki Khaana-Veerani Ko Kya Kam Hai; Hue Tum Dost Jis Ke Dushman Us Ka Aasman Kyon Ho! |
Kitna Pyaar Karte Hain Hum Unse; Kaash Unko Bhi Yeh Ehsaas Ho Jaye; Magar Aisa Na Ho Ki Woh Hosh Mein Tab Aayein; Jab Hum Gehri Neend Mein So Jayein! |
Kaun Hai Jo Nahi Hai Haazat-Mand; Kis Kee Haazat Ravaa Kare Koi! |
Etibar-e-Ishq Kee Khana-Kharaabi Dekhna; Gair Ne Kee Aah Lekin Vo Khafaa Mujh Par Hue! |
Muskan Banaye Rakho To Sab Saath Hai Ghalib; Varna Aansuon Ko To Aankhon Mein Bhi Panah Nahi Milti! |
Ek Toote Hue Dil Ki Aawaaz Mujhe Kahiye; Sur Jis Mein Hain Sab Gham Ke Woh Saaz Mujhe Kahiye; Main Kaun Hoon Aur Kya Hoon Kiske Liye Zinda Hoon; Main Khud Bhi Nahi Samjha Woh Raaz Mujhe Kahiye! |
Unke Dekhe Se Jo Aa Jaati Hai Munh Par Raunaq; Woh Samajhte Hain Ki Beemaar Ka Haal Achha Hai! |
Aata Hai Kaun Kaun Tere Gham Ko Baantne; Ghalib Tu Apni Maut Ki Afwaah Udaa Ke Dekh! |
Main Aur Bazm-E-Mai Se Yun Tishna-Kaam Aaun, Gar Maine Kee Thi Tauba Saaqi Ko Kyaa Hua Tha! |