-
Upload to Facebook
~ Mirza GhalibYe Fitna Aadami Ki Khaana-Veerani Ko Kya Kam Hai;
Hue Tum Dost Jis Ke Dushman Us Ka Aasman Kyon Ho! -
Upload to Facebook
~ Mirza GhalibKitna Pyaar Karte Hain Hum Unse;
Kaash Unko Bhi Yeh Ehsaas Ho Jaye;
Magar Aisa Na Ho Ki Woh Hosh Mein Tab Aayein;
Jab Hum Gehri Neend Mein So Jayein! -
Upload to Facebook
~ Mirza GhalibKaun Hai Jo Nahi Hai Haazat-Mand;
Kis Kee Haazat Ravaa Kare Koi! -
Upload to Facebook
~ Mirza GhalibEtibar-e-Ishq Kee Khana-Kharaabi Dekhna;
Gair Ne Kee Aah Lekin Vo Khafaa Mujh Par Hue! -
Upload to Facebook
~ Mirza GhalibMuskan Banaye Rakho To Sab Saath Hai Ghalib;
Varna Aansuon Ko To Aankhon Mein Bhi Panah Nahi Milti! -
Upload to Facebook
~ Mirza GhalibEk Toote Hue Dil Ki Aawaaz Mujhe Kahiye;
Sur Jis Mein Hain Sab Gham Ke Woh Saaz Mujhe Kahiye;
Main Kaun Hoon Aur Kya Hoon Kiske Liye Zinda Hoon;
Main Khud Bhi Nahi Samjha Woh Raaz Mujhe Kahiye! -
Upload to Facebook
~ Mirza GhalibAata Hai Kaun Kaun Tere Gham Ko Baantne;
Ghalib Tu Apni Maut Ki Afwaah Udaa Ke Dekh! -
Upload to Facebook
~ Mirza GhalibTeri Wafaa Se Kya Ho Talafi Ki Dahar Mein,
Tere Siwa Bhi Hum Pe Bahut Se Sitam Hue! -
Upload to Facebook
~ Mirza GhalibKahun Kis Se Main Ki Kya Hai, Shab-e-Gham Buri Bala Hai;
Mujhe Kya Bura Tha Marna Agar Ek Baar Hota;
Hue Mar Ke Jo Hum Ruswa, Hue Kyon Na Gharq-e-Dariya;
Na Kabhi Janaza Uthta Na Kahin Mazaar Hota! -
Upload to Facebook
~ Mirza GhalibAaina Dekh Apna Sa Munh Le Ke Reh Gaye;
Sahab Ko Dil Na Dene Pe Kitna Guroor Tha!