Aah Ko Chahiye Ek Umar Asar Hone Tak; Kaun Jeeta Hai Teri Zulf Ke Sar Hone Tak! Umar: Age Asar: Influence, Take Effect Zulf: Hair Sar Hone Tak: Till They (the Hair) Get Untangled And Are Tied |
Bana Kar Faqiron Ka Hum Bhes Ghalib; Tamasha-e-Ahl-e-Karam Dekhte Hain! Faqir: Beggar Ahl-e-Karam: Generosity of Friends |
In Aablon Se Paaon Ke Ghabra Geya Tha Main; Ji Khush Hua Hai Raah Ko Purkhraar Dekh Kar! AablonP: Blisters Purkhaar: Laden With Thorns |
Mohabbat Mein Nahi Hai Farq Jeene Aur Marne Ka; Usi Ko Dekh Kar Jeete Hain Jis Kafir Pe Dam Nikle! |
Qaid-e-Hayaat Aur Band-e-Gham Asl Mein Dono Ek Hain; Maut Se Pehle Aadmi Gham Se Nazaat Paaye Kyon! |
Daag-e-Dil Se Bhi Roshni Na Mili; Ye Diya Bhi Jala Ke Dekh Liya! |
Udne De In Parindon Ko Aazad Fiza Mein Ghalib; Jo Tere Apne Honge Woh Laut Aayenge Kisi Roz! |
Dil Se Mitna Tiri Agusht-e-Hinaai Ka Khyaal; Ho Geya Gosht Se Naakhun Ka Judaa Ho Jaana! |
Dil Hi To Hai Na Sang-o-Khist Dard Se Bahar Na Aaye Kyon, Royenge Hum Hazaar Baar Koi Humein Sataye Kyon! |
Aashiqui Sabr Talab Aur Tamanna Betab; Dil Ka Kya Rang Karun Khoon-e-Jigar Hone Tak! |