Woh Baada-e-Shabana Kee Sar-Mastiyan Kahan; Uthiye Bas Ab Ke Lazzat-e-Khwab-e-Sehar Gayi; Udti Phire Hai Khaak Meri Koo-e-Yaar Mein; Baare Ab Aaye Hawa Hawas-e-Baal-o-Par Gayi! Translation Gone are those spirited nights of intoxication, Arise! The blissful sleep of dawns that follow is also dispersed. A cloud of my ashes rises in the street of the other, Finally oh wind, I no longer crave wings or plumage. |
Hum Ko Unse Hai Wafa Kee Umeed; Jo Nahi Jaante Wafa Kya Hai; Haan Bhala Kar Tera Bhala Hoga; Aur Darvesh Kee Sada Kya Hai! Translation: We hope for fidelity from them, Who do not know what fidelity may be. Yes, do well, well will come to you, What else is the Dervish's cry? |
Utna Hi Mujhko Apni Haqeeqat Se Bood Hai; Jitna Ki Vahm-e-Ghair Se Hoon Pech-o-Taab Mein! Translation: I am equidistanced from my own reality, In proportion to the illusion of otherness. |
Jaan Kyon Nikalne Lagi Hai Tan Se Dam-e-Sama; Gar Woh Sada Samaai Hai Chang-o-Rabab Mein! Translation: Listening, why does a soul struggle to leave its body, If the divine voice resides in the instruments before us. |
Aata Hai Daag-e-Hasrat-e-Dil Ka Shumar Yaad; Mujh Se Mere Gunnah Ka Hisaab Ai Khudaa Na Maang! |
Ek Toote Hue Dil Ki Aawaaz Mujhe Kahiye; Sur Jismein Hai Sab Gum Ke Woh Saaz Mujhe Kahiye; Main Kaun Hoon Aur Kyaa Hoon Kiske Liye Zindaa Hoon; Main Khud Bhi Nahi Samjha Woh Raaz Mujhe Kahiye! |
Main Nadaan Tha Jo Wafa Ko Talash Karta Raha 'Ghalib'; Yeh Bhi Na Socha Ke Apni Saans Bhi Ek Din Bewafaa Ban Jayegi! |
Bana Kar Faqeeron Ka Hum Bhes 'Ghalib'; Tamasha Ehl-e-Karam Dekhte Hain! |
Chaandni Raat Ke Khamosh Sitaron Ki Qasam; Dil Mein Ab Tere Siwa Koi Bhi Aabad Nahi! |
Muskan Banaye Rakho To Sab Saath Hain Ghalib; Varna Ansuon Ko Toh Aankhon Mein Bhi Pnaah Nahi Milti! |