Ilaj-e-Dard-e-Dil Tum Se Masiha Ho Nahi Sakta; Tum Achcha Kar Nahi Sakte Main Achchha Ho Nahi Sakta! |
Tera Afsana Ched Kar Koi, Aaj Jagega Raat-Bhar Koi; Aise Wo Dil Ko Tod Deta Hai, Dil Na Ho Jaise Ho Samar Koi! |
Main Tha Wafa-Sarisht Mujhe Thi Wafa Aziz,
Wo Tha Bahana-Ju Use Khu-e-Baha Na Thi; Yun Koi Mere Paas Se Ho Kar Guzar Gaya, Jaise Kabhi Nazar Se Nazar Ashna Na Thi! * Wafa-Sarisht: Disposition of constancy * Bahana-Ju: one who seeks an excusedi |
Khamoshi Se Musibat Aur Bhi Sangeen Hoti Hai; Tadap Ai Dil Tadapne Se Zara Taskeen Hoti Hai! *Taskeen: Satisfaction, Comfort |
Apni Marzi Se Kahan Apne Safar Ke Hum Hain; Rukh Hawaon Ka Jidhar Ka Hai Udhar Ke Hum Hain! |
Yun Meri Ummeedon Ke Mahal Ho Gaye Mismar, Jis Tarah Koi Ret Ki Deewar Na Thahre; Pahuncha Naye Halat Ke Dhare Pe Safina, Mumkin Hai Mere Haath Mein Patvar Na Thahre! *Mismar: Ruined *Safina: Boat |
Zindagi Ke Udaas Lamhon Mein; Bewafa Dost Yaad Aate Hain! |
Kachhe Makaan Jitne The Barish Mein Beh Gaye; Varna Jo Mera Dukh Tha Vo Dukh Umar Bhar Ka Tha! |
Doston Ko Bhi Mile Dard Ki Daulat Ya Rab; Mera Apna Hi Bhala Ho Mujhe Manzoor Nahi! |
Meri Rooh Ki Haqeeqat Mere Aansuon Se Pucho, Mera Majlisi Tabassum Mera Tarjuman Nahi Hai; Main Kis Ke Haath Pe Apna Lahu Talaash Karun, Tamaam Shehar Ne Pehne Hue Hain Dastane! |