Suraj Hun Zindagi Ki Ramaq Chhod Jaunga; Main Doob Bhi Gaya To Shafaq Chhod Jaunga! *Ramaq: The last gasp |
Sunne Wale Ro Diye Sun Kar Mareez-e-Gham Ka Haal; Dekhne Wale Taras Kha Kar Dua Dene Lage! |
Koi Naam Hai Na Koi Nishaan Mujhe Kya Hua; Main Bikhar Gaya Hun Kahan Kahan Mujhe Kya Hua! |
Kisi Ko Kya Bataun Kaun Hun Main; Ki Apni Dastaan Bhoola Hua Hun! |
Saath Chalta Hai Koi Aur Bhi Su-e-Manzil; Mujh Ko Dhokha Mere Naqsh-e-Kaf-e-Pa Dete Hain! *Naqsh-e-Kaf-e-Pa: Footprints |
Bijli Giregi Sehn-e-Chaman Mein Kahan Kahan; Kis Shakh-e-Gulistan Pe Mera Ashiyan Nahin! |
Buri Sarisht Na Badli Jagah Badalne Se; Chaman Mein Aa Ke Bhi Kaanta Gulab Ho Na Saka! |
Yeh Sard Raat Yeh Aawargi Yeh Neend Ka Bojh; Hum Apne Shehar Mein Hote To Ghar Chale Jaate! |
Log Dete Rahe Kya Kya Na Dilase Mujh Ko; Zakhm Gehra Hi Sahi Zakhm Hai Bhar Jayega! |
Bazaaron Mein Ab Woh Pehle Si Raunak Kahan, Tyoharon Mein Woh Pehle Si Baat Kahan; Hawaon Mein Sardiyon Ki Kashish Kahan, Aur Tumhare Bin Main Kahan! |