Apne Jalne Mein Kisi Ko Nahi Karte Hain Shareek; Raat Ho Jaaye To Hum Shama Bujha Dete Hain! |
Mohabbat Ne Akela Kar Diya Hai; Main Apni Zaat Mein Ik Qafila Tha! |
Ye Kya Tilism Hai Kyon Raat Bhar Sisakta Hun; Wo Kaun Hai Jo Diyon Mein Jala Raha Hai Mujhe! |
Nala-e-Bulbul-e-Shaida To Suna Hans Hans Kar; Ab Jigar Thaam Ke Baitho Meri Baari Aayi! *Nala-e-Bulbul-e-Shaida: Crying of nightingale who is in deep ardor |
Zakhm Khate Hain Aur Muskurate Hain Hum; Haunsla Apna Khud Azmate Hain Hum! |
Zindagi Kis Tarah Basar Hogi; Dil Nahi Lag Raha Mohabbat Mein! |
Dafan Kar Sakta Hun Seene Mein Tumhare Raaz Ko; Aur Tum Chaho To Afsana Bana Sakta Hun Main! |
Kuch Gham-e-Janan Kuch Gham-e-Dauran Dono Meri Zaat Ke Naam; Ek Ghazal Mansub Hai Us Se Ek Ghazal Halat Ke Naam! |
Nahi Nahi Humein Ab Teri Justuju Bhi Nahi; Tujhe Bhi Bhool Gaye Hum Teri Khushi Ke Liye! |
Kahan Charagh Jalayen Kahan Gulab Rakhen; Chahaten To Milti Hain Lekin Makaan Nahi Milta! |