Wo Nahi Bhoolta Jahan Jaun; Haaye Main Kya Karun Kahan Jaun! |
Dil Ki Nazuk Dhadkano Ko Mere Sanam Tumne Dhadkana Sikha Diya; Jab Se Mila Hai Tera Pyaar Dil Ko Gham Mein Bhi Muskurana Sikha Diya! |
Zindagi Ek Haadsa Hai Aur Kaisa Haadsa; Maut Se Bhi Khatam Jis Ka Silsila Hota Nahi! |
Yeh Alag Baat Hai Ki Dikhai Na De, Par Shamil Zaroor Hota Hai; Khudkushi Karne Wale Ka Bhi, Koi Na Koi Qatil Zaroor Hota Hai! |
Dafn Se Pehle Nabz Jaanch Lena Sahab; Kalakar Umda Hai, Kahin Kirdar Mein Na Ho! |
Zuban Dil Ki Haqeeqat Ko Kya Bayaan Karti; Kisi Ka Haal Kisi Se Kaha Nahi Jaata! |
Barbaad Kar Diya Humein Pardes Ne Magar; Maa Sab Se Keh Rahi Hai Ki Beta Maze Mein Hai! |
Na Jaane Iss Zidd Ka Nateeza Kya Hoga; Samjhata Dil Bhi Nahi, Main Bhi Nahi, Tum Bhi Nahi! |
Anjaan The Hum Anajaan Hi Rehne Do, Kisi Ki Yaadon Mein Humein Pal Pal Yun Hi Marne Do; Kyon Karte Ho Badnaam Lekar Naam Hamaara, Ab To Is Naam Ko Gumnaam Rehne Do! |
Shohrat Ki Bulandi Bhi Pal Bhar Ka Tamasha Hai; Jis Daal Pe Baithe Ho Wo Toot Bhi Sakti Hai! |