Ai 'Zauq' Takalluf Mein Hai Takleef Sarasar; Aaram Mein Hai Woh Jo Takalluf Nahi Karta! |
Zamana Bade Shaunk Se Sun Raha Tha; Humin So Gaye Dastaan Kehte Kehte! |
Duniya Ke Jo Maze Hain Harghiz Wo Kam Na Honge; Charche Yun Hi Rahenge Afsos Hum Na Honge! |
Kyon Chalte Chalte Ruk Gaye Veerna Raasto; Tanha Hun Aaj Main Zara Ghar Tak To Saath Do! |
Kashti-e-Mai Ko Hukam-e-Ravani Bhi Bhej Do; Jab Aag Bhej Di Hai To Paani Bhi Bhej Do! |
Ujale Apni Yaadon Ke Hamare Saath Rehne Do; Na Jaane KIs Gali Mein Zindagi Ki Sham Ho Jaye! |
Qurbatein Hote Hue Bhi Fanslon Mein Qaid Hain; Kitni Azadi Se Hum Apni Hadon Mein Qaid Hain! |
Rang Khushbu Aur Mausam Ka Bahana Ho Gaya; Apni Hi Tasveer Mein Chehra Purana Ho Gaya! |
Kabhi Udaas Ho Jao To Batana Mujhe; Phir Se Apna Dil Denge Tumhein Khelne Ke Liye! |
Kitna Aur Dard Dega Bas Itna Bata De; Aisa Kar Aye Khuda Meri Hasti Mita De; Yun Ghut-Ghut Ke Jeene Se Maut Behtar Hai; Main Kabhi Na Jagun Mujhe Aisi Neend Sula De! |