Jaan Dene Ko Kaha Maine Toh Hans Kar Bole, Tum Salamat Raho Har Roz Ki Marne Wale; Aakhiri Waqt Bhi Pura Na Kiya Vada-e-Wasl, Aap Aate Hi Rahe Mar Gaye Marne Wale! |
Sanson Ke Silsile Ko Na Do Zindagi Ka Naam; Jeene Ke Bawazood Bhi Mar Jaate Hain Kuch Log! |
Dil Preshan Hai Shab-o-Roz Ki Yak Rangi Se; Kal Bhi Tanhai Thi Aur Aaj Bi Tanhai Hai! |
Main Kese Man Loon Ke Koi Mera Nahi Raha; Jab Tak Khuda Ki Zaat Hai Tanha Nahi Hoon Main! |
Kabhi Gham Toh Kabhi Tanhai Maar Gayi, Kabhi Yaad Aakar Unki Judaai Maar Gayi, Bahut Toot Kar Chaha Jisko Humne, Aakhir Mein Uski Bewafai Maar Gayi! |
Yeh Muskurati Hui Aankhein Jin Mein Raks Karti Hai Bahaar; Shafaq Ki, Gul Ki, Bijliyon Ki Shokhiyan Liye Hue! |
Lamhon Ki Daulat Se Dono Hi Mahroom Rahe; Mujhe Churana Na Aaya Tumhein Kamana Na Aaya! |
Shayad Mujhe Kisi Se Mohabbat Nahi Hui; Lekin Yaqeen Sab Ko Dilata Raha Hun Main! |
Is Mohabbat Ki Kitaab Ke Bas Do Hi Sabak Yaad Hue; Kuch Tum Jaise Aabaad Hue Kuch Hum Jaise Barbaad Hue! |
Roz Aata Hai Mere Dil Ko Tasalli Dene; Khayal-e-Yaar Ko Mera Khayal Kitna Hai! |