Hazar Dard Ke Rango Se Aashna Thi Nazar; Phir Ek Khawab-e-Siyyah Kha Gaya Meri Aankhein! |
Kahan Milegi Misaal Meri Sitam Giri Ki; Ki Main Gulabon Ke Zakhm Kanton Se See Raha Hun! |
Woh Khushi Thi Umeed Thi Ik Ehsaas Tha; Baad Mein Ye Ghuman Hua Bas Pal Do Pal Ka Sath Tha; Rehta Hai Aaj Bhi Intezar Is Aankh Ko Kisi Apne Ka; Woh Ja Kar Aaj Bhi Saath Hai Jo Kabi Hamare Pass Tha! |
Ik Baar Aur Dekh Kar Azad Kar De Mujhe Mohsin; Ki Main Aaj Bhi Teri Pehli Nazar Ki Qaid Main Hun! |
Mohabbat Tarq Ki Maine Gireban Si Liya Maine; Zamaane Ab Tu Khush Ho Zehar Ye Bhi Pee Liya Maine! |
Main Tanha Larki Dyar-e Shab Mein Jalaun Sach Ke Diye Kahan Tak; Sayah Karoon Ki Saltanat Mein Kis Tarah Aaftab Likhoon! |
Woh Jo Geet Tum Ne Suna Nahi; Meri Umar Bhar Ka Riaz Tha; Mere Dard Ki Thi Dastan; Jise Tum Hansi Mein Uda Gaye! |
Zamane Walon Se Chup Ke Rone Ke Din Nahi Hain; Use Yeh Kehna Udaas Hone Ke Din Nahi Hain; Main Jaan Sakti Hun Wasal Mein Asal Bhed Kya Hai; Magar Haqeeqat Shnas Hone Ke Din Nahi Hain! |
Bas Yun Hi Umeed Dilate Hain Zamane Wale; Kab Laut Ki Aate Hain Chhod Kar Jaane Wale! |
Maut-o-Hasti Ki Kash-m-Kash Mein Kati Tamaam Umar, Gham Ne Jeene Na Diya Shauq Ne Marne Na Diya! |