Vekh-Vekh Hasna, Par Kuch Vi Na Kehna, Changi Gal Nahi; Jaan Bujh Ke Anjaan Bane Rehna,Changi Gal Nahi; Pyaar Karna, Par Izhaar Na Karna, Changi Gal Nahi; Kise Da Pyaar To Vishwas Hi Utha Dena, Sachi Changi Gal Nahi! |
Kabhi Neendein, Kabhi Aankhon Mein Paani Bhej Deta Hai Zalim; Woh Khud Aata Nahi Apni Nishaani Bhej Deta Hai! |
Tujhe Haq Diya Hai Maine Dillagi Ka Ae Sanam; Tu Mere Dilse Khel Jab Tak Tera Dil Behal Na Jaye! |
Aa Bichadne Ka Koi Aur Tareeqa Dhoodhen; Pyaar Badhta Hai Meri Jaaan Khafa Rahne Se! |
Ab Tere Zikar Pe Hum Baat Badal Dete Hain; Kitni Raghbat Thi Tere Naam Se Pehle-Pehle! |
Samraj Ko Dost Hamare Dushman Hain, Inhi Se Aansu Aahein Aangan Aangan Hain; Inhi Se Qatal-e-Aam Hua Aashaon Ka, Inhi Se Veeran Umeedon Ka Gulshan Hai! |
Kitabon Ki Tarah Hai Woh Bhi; Alfaaz Se Bharpur Magar Khamosh! |
Lakh Kehte Rahen Zulmat Ko Zulmat Na Likhna; Ham Ne Sekha Nahi Payare Be-Ijazat Likhna! |
Tha Jahan Kehna Wahan Keh Na Paye Umar Bhar; Kagzon Par Yun Sher Likhna Bezubani Hi Toh Hai! |
Dushmano Ko Saza Dene Ki Ek Tehzeeb Hai Meri; Main Haath Nahi Uthata Nazron Se Gira Deta Hun! |