Door Rehne Wale Tumhein Ek Baat Kehna Chahta Hun, Agar Mera Khyaal Aaye Toh Apna Khyaal Rakhna! |
Lafz Bhee Jis Ahd Mein Kho Baithe Apna Aitbaar; Khamoshi Ko Is Mein Kitna Motabar Maine Kiya! Lafz: Words Ahd: Time, Period Aitbaar: Trust Khamoshi: Silence Motabar: Reliable, Trustworthy |
Woh Humse Apni Marzi Se Baat Karte Hain; Aur Hum Bhi Kitne Pagal Hain Ki Unki Marzi Ka Intezaar Karte Hain! |
Girte Rahe Hum Sajdon Mein Hasrat-e-Ishq Ki Khaatir; Agar Ibadat-e-Khuda Mein Gire Hote To Zindgi Jannat Ban Jati! |
Na Saath Hai Kisi Ka Na Sahara Hai Koi, Na Hum Hain Kisi Ke Na Hamara Hai Koi! |
Mumkin Ho Aapse Toh Bhula Dijiyega Mujhe; Patthar Pe Hun Lakeer Mita Dijiyega Mujhe; Har Roz Mujh Se Hai Taaza Shikayat Aapko; Maine Kiya Kya Ek Baar Bata Dijiyega Mujhe! |
Kitaabein Bhi Bilkul Meri Tarha Hain; Alfaazon Se Bharpoor Magar Khamosh! |
Ab Milen Hain To Gamon Ke Ziqr Se Hat Kar Milen; Jo Bhi Hona Hoga Ek Din Faisla Ho Jayega! Ziqr: Mention Faisla: Descision |
Jaate Hue Kehte Ho Qayamat Ko Milenge; Kya Khoob Qayamat Ka Hai Goya Koi Din Aur! |
Kis-Kis Ki Zubaan Rokne Jaun Teri Khaatir; Kis-Kis Ki Tabaahi Mein Tera Haath Nahi! |