Main Ab Supurd-e-Khaak Hun Mujh Ko Jalana Chhod De, Qabr Par Meri Tu Uske Saath Aana Chhod De; Ho Sake Gar Tu Khushi Se Ashq Peena Seekh Le, Ya Tu Aankhon Mein Apni Kajal Lagana Chhod De! |
Ab Maut Se Keh Do Narazgi Khatam Kar Le; Woh Badal Geya Hai Jiske Liye Hum Zinda The! |
Kis Kis Ki Zubaan Rokne Jaaun Teri Khaatir; Kis Kis Ki Tabaahi Mein Tera Haath Nahi Hai! |
Thokar Na Laga Mujhe Pathar Nahi Hu Main; Hairat Se Na Dekh Mujhe Manzar Nahi Hu Main; Teri Nazaro Mein Meri Kader Kuch Bhi Nahi; Mager Unse Pooch Jinhe Haasil Nahi! |
Humari Haisiyat Ka Andaza Tum Yeh Jaan Ke Laga Lo; Hum Kabhi Unke Nahi Hote Jo Har Kisi Ke Ho Gaye! |
Jab Tum Saath The Toh Gham Bhi Has Ke Seh Lete The Hum; Ab Jo Nahi Ho Saath Toh Khushiyan Bhi Sahi Nahi Ja Rahi Hain! |
Nazron Ko Tere Pyaar Se Inkar Nahi Hai; Ab Mujhe Kisi Aur Ka Intezar Nahi Hai; Khamosh Agar Hun Main To Yeh Wuzood Hai Mera; Tum Yeh Na Samajhna Ki Tumse Pyaar Nahi Hai! |
Dekha Jo Teer Kha Ke Kami-Gaah Ki Taraf; Apne Hi Doston Se Mulaqaat Ho Gayi! |
Jeena Bhi Aa Geya, Mujhe Marna Bhi Aa Geya; Pehchaanne Laga Hun, Tumhari Nazar Ko Main! |
Yeh Duniya Ek Lamhe Mein Tumhein Barbaad Kar Degi; Mohabbat Agar Mil Bhi Jaye To Use Mashoor Mat Karna! |