Hum Ne Seene Se Lagaaya Dil Na Apna Ban Saka; Muskura Kar Tum Ne Dekha Dil Tumhaara Ho Gaya! |
Aap Pehlu Mein Jo Baithein To Sambhal Kar Baithen; Dil-e-Betaab Ko Aadat Hai Machal Jaane Ki! |
Saath Agar Doge Toh Muskurange Zarur; Pyaar Agar Dil Se Karoge To Nibhayenge Zarur; Raah Mein Kitne Bhi Kaante Kyon Na Ho; Awaaz Agar Dil Se Doge To Aayenge Zarur! |
Ab To Hai Ishq-e-Buta Mein Zindagani Ka Maza; Jab Khuda Ka Saamana Hoga To Dekha Jaayega! |
Mere Jazbaat Se Waqif Hai Meri Kalam Faraz; Main Pyaar Likhun To Tera Naam Likh Jata Hai! |
Duniya Jise Neend Kehti Hai; Jaane Woh Kya Cheez Hoti Hai; Aankhein To Hum Bhi Band Karte Hain; Par Woh Unse Milne Ki Tarkeeb Hoti Hai! |
Jo Yaqeen Ke Raah Par Chal Pade; Unhein Manzilon Ne Panaah Di; Jinhe Vassvason Ne Daraa Diya; Woh Kadam Kadam Par Behak Gaye! |
Patthar Zehan Gulaab Nahi Hunde; Kore Waraq Kitaab Nahi Hunde; Je Kar Laaiye Yaari Sajna; Fir Yaraan Naal Hisaab Nahi Hunde! |
Iqrar Mein Shabdon Ki Ehmiyat Nahi Hoti; Dil Ke Jazbat Ki Awaaz Nahi Hoti; Aankhein Bayan Kar Deti Hain Dil Ki Dastan; Mohabbat Lafzon Ki Mohtaz Nahi Hoti! |
Woh Mujhse Door Rehkar Khush Hai Toh Rehne Do Use; Mujhe Chahat Se Zyada Uski Muskurahat Pasand Hai! |