Tanhai Le Jati Hai Jahan Tak Yaad Tumhari; Wahin Se Shuru Hoti Hai Zindagi Hamari; Nahi Socha Tha Hum Chahenge Tumhein Is Kadar; Par Ab To Ban Gaye Ho Tum Kismat Hamari! |
Nafrat Kabhi Na Karna Humse; Yeh Hum Seh Nahi Paayenge; Ek Baar Keh Dena Humse Zaroorat Nahi Ab Tumhari; Kasam Khuda Kee Tumhari Duniya Se Hans Kar Chale Jayenge! |
Kisi Na Kisi Pe Kisi Ko Aitbaar Ho Jata Hai; Ajnabi Koi Shaks Bhi Yaar Ho Jata Hai; Khoobiyon Se Nahi Hoti Mohabbat Sada; Khamiyon Se Bhi Aksar Pyaar Ho Jata Hai! |
Meri Nazar Se Na Ho Door Ek Pal Ke Liye; Tera Wajood Hai Lazim Meri Ghazal Ke Liye; Kahan Se Dhoond Ke Laaun Charag Se Wo Badan; Taras Gayi Hain Nigahein Kanwal Kanwal Ke Liye! |
Khuda Ne Jab Tumhein Banaya Hoga; Uske Dil Mein Bhi Sukun Aaya Hoga; Socha Hoga Usne Ki Tumhein Apna Loon; Phir Use Mera Khayal Aaya Hoga! |
Raah Dekhenge Na Duniya Se Guzarne Wale; Hum To Jaate Hain Thehar Jaye Thehrne Wale; Ek To Husn Bala Us Pe Banawat Aafat; Ghar Bigdenge Hazaron Ke Sanwarne Wale! |
Wo Inkaar Karte Hain Iqraar Ke Liye; Nafrat Bhi Karte Hain To Pyaar Ke Liye; Ulti Chaal Chalte Hain Yeh Ishq Karne Wale Bhi; Aankhein Band Karte Hain Deedar Ke Liye! |
Mohabbat Karo Itni Ki Hadh Na Rahe; Intezar Karo Itna Ki Waqt Na Rahe; Bharosa Karo Itna Ki Shaq Na Rahe; Nibaho Mohabbat Aise Ki Kisi Aur Ka Us Par Haq Na Rahe! |
Teri Gali Mein Main Na Chalun Aur Saba Chale; Yun Hi Khuda Jo Chahe To Bande Kee Kya Chale; Kis Kee Ye Mauj-e-Husan Hui Jalvagar Kee Yun; Dariya Mein Jo Habab The Aankhein Chuppa Chale! |
Roothi Jo Zindagi To Mana Lenge Hum; Mile Jo Gham Wo Seh Lenge Hum; Bas Aap Rehna Hamesha Saath Hamare To; Nikalte Hue Aansuon Mein Bhi Muskura Lenge Hum! |