Lafz Ka Bas Hai Talluq Mere Tere Darmiyan; Lafz Ke Maani Pe Qaayam Saare Rishton Ka Nishan! |
Bahut Dinon Mein Mohabbat Ko Ye Hua Malum; Jo Tere Hijr Mein Guzri Wo Raat Raat Hun! |
Ghuroor Ishq Ke Adab Seeikh Jayega; Kabhi Wo Rooth Ke Dekhe Kabhi Manaye To! |
Achha Hai Ki Laga Nahi Unhen Pyaar Ka Rog; Aate Aate Ayenge Raah Pe Agle Log! |
Log Kehte Hain Ki Tu Ab Bhi Khafa Hai Mujh Se; Teri Aankhon Ne To Kuch Aur Kaha Hai Mujh Se! |
Na Paak Hoga Kabhi Husn-o-Ishq Ka Jhagda; Wo Qissa Hai Ye Ki Jis Ka Koi Gawah Nahi! |
Jis Ko Aankhon Se Door Rakhna Tha; Aaj Qurbat Mein Phir Wahi Kyon Hai! *Qurbat: Nearness, Vicinity |
Dil Nadaan Hai Roz Koi Nadaani Karta Hai; Aag Mein Aag Milata Hai Phir Paani Karta Hai! |
Main To Itna Bhi Samajhne Se Raha Hun Qasir; Raah Takne Ke Siva Aankh Ka Maqsad Kya Hai! *Qasir: Unable, Failing |
Kahte Hain Aankh Aankh Se Milnaa Hai Bandagi; Duniya Ke Chhod Kaam Zara Aankh To Mila! |