Qais Jungle Mein Akela Hai Mujhe Jaane Do; Khoob Guzregi Jo Mil Baithenge Deewane Do! |
Bachchon Ke Chhote Hathon Ko Chand Sitare Chune Do; Char Kitabein Padh Kar Ye Bhi Hun Jaise Ho Jayenge! |
Mujhe Zindagi Ki Dua Dene Wale; Hansi Aa Rahi Hai Teri Sadgi Par! |
Wo Aks Ban Ke Meri Chashm-e-Tar Mein Rehta Hai; Ajeeb Shakhs Hai Paani Ke Ghar Mein Rehta Hai! |
Surkh-Ru Hota Hai Insan Thokarein Khane Ke Baad; Rang Laati Hai Hina Patthar Pe Pis Jaane Ke Baad! |
Kuch Asoolon Ka Nasha Tha Kuch Muqaddas Khwab The; Har Zamane Mein Shahadat Ke Yahi Asbab The! |
Har Aadmi Mein Hote Hain Dus Bees Aadmi; Jis Ko Bhi Dekhna Ho Kayi Baar Dekhna! |
Jo Apne Ghar Mein Hai Wo Hai Bazaar Mein Nahi; Hona Kisi Ka Shehar Mein Hona Nahi Hai Aaj! |
Maine Haathon Se Bujhai Hai Dehakti Hui Aag; Apne Bachhe Ke Khilono Ko Bachane Ke Liye! |
Keh Raha Hai Shor-e-Dariya Se Samandar Ka Sukut; Jis Ka Jitna Zarf Hai Utna Hi Wo Khamosh Hai! |