Jala Ke Mishaal-e-Jaan Hum Junoon-Sifat Chale, Jo Ghar Ko Aag Lagaye Hamare Saath Chale; Dayar-e-Sham Nahi Manzil-e-Sahar Bhi Nahi, Ajab Nagar Hai Yaha Din Chale Na Raat Chale! |
Khwab Ki Tarah Bikhar Jaane Ko Jee Chahta Hai, Aisi Tanhayi Ki Mar Jaane Ko Jee Chahta Hai; Ghar Ki Vehshat Se Larazta Hun Magar Jaane Kyon, Shaam Hoti Hai To Ghar Jaane Ko Jee Chahta Hai! |
Chhoti Si Baat Pe Khush Hona Mujhe Aata Tha; Par Badi Baat Pe Chup Rehna Tum Hi Se Seekha! |
Band Aankhon Se Dekh Li Duniya; Hum Ne Kya Kuch Na Dekh Kar Dekha! |
Log Baatein Banane Lagte Hain; Aab Aankhon Mein Rokna Hai Mujhe! |
Main Hun Hairan Ye Silsila Kya Hai; Aaina Mujh Mein Dhundhta Kya Hai! |
Ek Nanhi Si Aarzoo Ke Liye; Khwab Mein Ghar Bana Ke Dekho To! |
Hain Saare Jurm Jab Apne Hisab Mein Likhna; Sawal Ye Hai Ki Phir Kya Jawab Mein Likhna! |
Basarat Kho Gayi Hai Roshni Mein; Maza Aane Laga Hai Tirgi Mein! *Tirgi : Darkness, Gloom |
Maine Is Zidd Mein Kho Diya Sab Kuch; Kho Gaya Tha Jo Dhundhna Hai Mujhe! |