Holi Ke Din Ki Ye Mulaqat Yaad Rahegi; Rango Ki Ye Barsaat Yaad Rahegi; Aap Ko Mile Rangeen Duniya Aise Hamesha; Is Toote Hue Dil Ki Rabb Se Yahi Fariyad Rahegi! |
Padh Raha Hun Main Ishq Ki Kitab Ai Dosto; Agar Aa Gayi Smajh Ishq Ki To Bewafaon Ki Khair Nahi! |
Tujhe Chahte Hain Be-inteha Par Chahna Nahi Aata; Ye Kaisi Mohabbat Hai Ki Humein Kehna Nahi Aata; Zindagi Mein Aa Jao Hamari Zindagi Ban Kar; Ki Tere Bin Humein Zinda Rehna Nahi Aata! |
Shayad Aaghaz Hua Phir Shayad Aaghaz Hua Phir Kisi Afsane Ka; Hukm Aadam Ko Hai Jannat Se Nikal Jane Ka; Un Se Kuch Keh To Raha Hun Magar Allah Na Kare; Wo Bhi Mafhoom Na Samjhe Mere Afsane Ka; Dekhna Dekhna Yeh Hazrat-e-Vaiz Hi Na Hon; Raasta Puch Raha Hai Koi Maikhane Ka; Betalluq Tere Aage Se Guzar Jata Hun; Yeh Bhi Ek Husn-e-Talab Hai Tere Deewane Ka; Hashr Tak Garmi-e-Hungama-e-Hasti Hai 'Shakeel'; Silsila Khatm Na Hoga Mere Afsane Ka! |
Kabhi Yeh Chup Mein Kabhi Meri Baat Baat Mein Tha; Tumhara Akss Meri Saari Qayenaat Mein Tha; Hum Ehl-e-Ishq Bahut Bad-Guhmaan Hote Hain; Isi Tarah Ka Koi Vasf Teri Jaat Mein Tha! |
Galti Naal Vi Kadi Kise Naal Pyaar Naa Kareyo; Mar Mar Ke Jeona Pai Jana Kadi Ishq Vich Kise Te Na Mareyo! |
Pehli Mohabbat Thi Hamari, Hum Jaan Na Sake; Pyaar Hota Hai Kya Hum Pehchan Na Sake; Humne Unhe Dil Mein Basaya Hai Iss Kadar Ki; Chah Kar Bhi Hum Unhe Apne Dil Se Nikaal Na Sake! |
Bhula Kar Mujhe Agar Tum Ab Bhi Ho Salamat; To Bhula Kar Tumhein Sambhalna Mujhe Bhi Aata Hai; Meri Fitrat Mein Nahi Hai Bas Ye Aadat Varna; Teri Tarah Yun Badalna Mujhe Bhi Aata Hai! |
Apna Deewana Bana Kar Le Jaye; Kabhi Wo Aaye Aur Aa Kar Le Jaye; Roz Buniyad Uthata Hun Nayi; Roz Sailab Baha Kar Le Jaye; Husn Walon Mein Koi Aisa Ho; Jo Mujhe Mujh Se Chura Kar Le Jaye; Rang-e-Rukhsaar Pe Itarao Nahi; Jaane Kab Waqt Udaa Kar Le Jaye; Kise Maloom Kahan Kaun Kise; Apne Raaste Pe Laga Kar Le Jaye; 'Aftab' Ek To Aisa Ho Kahin; Jo Humein Apna Bana Kar Le Jaye! |
Inhi Patharon Pe Chal Kar Agar Aa Sako To Aao; Mere Ghar Ke Raaste Mein Koi Kehkashan Nahi Hai! |