Shayari

• Bahut Door Magar Bahut Paas Rehte Ho;

Aankhon Se Door Magar Dil Ke Paas Rehte Ho;

Mujhe Bas Itna Bata Do Ai Sanam;

Kya Tum Bhi Mere Bina Udaas Rehte Ho!Upload to Facebook
Bahut Door Magar Bahut Paas Rehte Ho;
Aankhon Se Door Magar Dil Ke Paas Rehte Ho;
Mujhe Bas Itna Bata Do Ai Sanam;
Kya Tum Bhi Mere Bina Udaas Rehte Ho!
• Raaz Dil Ka Dil Mein Chupate Hain Woh;
Samne Aate Hi Nazar Jhukate Hain Woh;
Baat Karte Nahi, Ya Hoti Nahi;
Par Shukar Hai Jab Bhi Milte Hain Muskurate Hain Woh!
• Tum Bhi Ho Beete Hue Waqt Ki Tarah Hu-B-Hu;
Tum Ne Bhi Yaad Aana Hai, Khud Aana To Hai Nahi!
• Giri Is Tabassum Ki Bijli...

Giri Is Tabassum Ki Bijali Ajal Par;
Andhere Ka Ho Noor Mein Kya Guzara;

Justjoo Jis Gul Ki Tarpati Thi Ai Bulbul Mujhe;
Khoobi-e-Qismat Se Aakhir Mil Gaya Woh Gul Mujhe;

Parwana Tujhse Karta Hai Ai Shama Pyaar Kyon;
Ye Jaane Beqaraar Hai Tujh Par Nisar Kyon;

Qismat Buri Sahi Par Tabiyat Buri Nahin;
Hai Shukr Ki Jagah Ki Shikayat Nahin Mujhe;

Zulm Hai Gar Na Do Sakun Ki Daad;
Qahar Hai Gar Karona Mujhko Pyaar;

Hoga Koi Aisa Bhi Ki Ghalib Ko Na Jaane;
Shayar Toh Wah Achchha Hai Par Badnaam Bahut Hai!
~ Mirza Ghalib
• Aankh Ladate Hi Hua Ishq Ka Aazaar Mujhe;

Chashm Beemaar Teri Kar Gayi Beemaar Mujhe;

Dil Ko Zakhmi To Vah Karte Hain Magar Hairat Hai;

Nazar Aati Nahi Chalti Hui Talwar Mujhe!Upload to Facebook
Aankh Ladate Hi Hua Ishq Ka Aazaar Mujhe;
Chashm Beemaar Teri Kar Gayi Beemaar Mujhe;
Dil Ko Zakhmi To Vah Karte Hain Magar Hairat Hai;
Nazar Aati Nahi Chalti Hui Talwar Mujhe!
~ Jaleel Manikpuri
• Lafzon Mein Kaise Tareef Karun,

Lafzon Mein Aap Kaise Sama Paoge;

Jab Bhi Puchenge Kabhi Log Aapke Baare Mein;

Hamari Aakhein Dekh Kar Wo Sab Jaan Jayenge!Upload to Facebook
Lafzon Mein Kaise Tareef Karun,
Lafzon Mein Aap Kaise Sama Paoge;
Jab Bhi Puchenge Kabhi Log Aapke Baare Mein;
Hamari Aakhein Dekh Kar Wo Sab Jaan Jayenge!
• Zinda Rahe To Kya Hai, Jo Mar Jayein Hum To Kya;
Duniya Se Khamoshi Se Guzar Jayein Hum To Kya;
Hasti Hi Apni Kya Hai Zamane Ke Samne;
Ek Khwab Hain Jahan Mein Bikhar Jayein Hum To Kya!
• Ishq Mein Dil Ne Bahut Kaam Nikala Apna;
Sach Hai, Milta Hai Kahaan, Chahne Wala Apna;
Main Uthta Hun Sahare Ke Liye Uske;
Reh Na Geya Ho Raah Mein, Kahin Dard Apna!
• Ishq Ko Taqleed Se Aazad Kar;
Dil Se Giraya Aankh Se Fariyaad Kar;

Baaz Aa Ai Banda-e-Husn Majaz;
Yun Na Apni Zindagi Barbaad Kar;

Ai Khayalon Ke Makeen Nazron Se Door;
Meri Veeran Khalvatein Abaad Kar;

Naza Mein Hichki Nahi Aayi Mujhe;
Bhulne Wale Khudaa-Raa Yaad Kar;

Husn Ko Duniyaa Kee Aankhon Se Na Dekh;
Apni Ik Tarz-e-Nazar Izaad Kar;

Ishrat-e-Duniya Hai Ik Khwab-e-Bahar;
Kabaa-e-Dil Dard Se Abaad Kar;

Ab Kahan 'Ehsaan' Duniya Mein Wafa;
Tauba Kar Nadan Khuda Ko Yaad Kar!
~ Ehsaan Danish
• Ye Husn-e-Raaz Mohabbat Chupa Raha Hai Koi;

Hai Ashk Aankhon Mein Aur Muskura Raha Hai Koi;

Nazar Nazar Mein Tajalli Dikha Raha Hai Koi;

Nafaz Nafaz Pe Mujhe Yaad Aa Raha Hai Koi!Upload to Facebook
Ye Husn-e-Raaz Mohabbat Chupa Raha Hai Koi;
Hai Ashk Aankhon Mein Aur Muskura Raha Hai Koi;
Nazar Nazar Mein Tajalli Dikha Raha Hai Koi;
Nafaz Nafaz Pe Mujhe Yaad Aa Raha Hai Koi!
~ Qadeer
ADVERTISEMENT
ADVERTISEMENT