Mujhe In Patharo Ka Dar Na Hota; Agar Sheeshe Ka Mera Ghar Na Hota; Yakeenan Hum Bhi Khelte Ishq Ki Bazi; Agar Dil Tootne Ka Dar Na Hota! |
Nibhaoge Tum Kasmein Yeh Wada Na Karo; Mohabbat Humse Itni Zyada Na Karo; Dekhe Hain Maine Bhi Daur Tabahi Ke; Aur Humein Sataane Ka Irada Na Karo! |
Kash Tu Bhi Ban Jaye Teri Yaadon Ki Tarah; Na Waqt Dekhe Na Bahana, Bas Chali Aaye! |
Tanhaiyon Mein Tanhaiyon Mein Khayaal Aata; Khayaalon Mein Wo Naam Chala Aata; Beqarar Dil Ko Qarar Nahi Aata; Milne Ka Humein Kyon Unko Khayaal Nahi Aata; Jaage Bhi Wo Soye Bhi Wo, Ye Silsila Tham Hi Nahi Pata; Soche To Kya Soche, Koi Vichar Aur Samajh Nahi Aata; Rab Se Aziz Wo Kaisa Saaya Hai, Itna Kya Mann Ko Bhaya; Naam Lena Chahu Rab Ka Aur Uska Hi Naam Zubaan Pe Aa Jata! |
Kaayi Si Jam Gayi Hai Aankhon Par; Sara Manzar Hara Sa Rehta Hai; Sehma Sehma Daraa Sa Rehta Hai; Jaane Kyon Dil Bhara Sa Rehta Hai! |
Khwahishon Ka Kafila Bhi Ajeeb Hi Hai; Aksar Wahin Se Guzarta Hai Jahan Raasta Nahi Hota! |
Aansu Na Hote To Aankhein Itni Khoobsurat Na Hoti; Dard Na Hota To Khushiyon Kee Koi Keemat Na Hoti; Poori Karta Jo Rabb Yun Hi Sab Muradein; To Ibadat Kee Kabhi Zaroorat Na Hoti! |
Sab Fasane Hain Duniya Daari Ke; Kis Ne Kis Ka Sukoon Loota Hai; Sach To Yeh Hai Ki Iss Zamane Mein; Main Bhi Jhootha Hun Tu Bhi Jhootha Hai! |
Koi Din Gar Zindgani Koi Din Gar Zindgani Aur Hai; Apne Jee Mein Hum Ne Thaani Aur Hai; Aatish-e-Dozakh Mein Yeh Garmi Kahaan; Soz-e-Ghumhaae Nihaani Aur Hai; Baarha Dekhi Hain Unki Ranjishen; Par Kuch Ab Ke Sargaraani Aur Hai; De Ke Khat Munh Dekhta Hai Naama Bar; Kuch To Paigham-e-Zabaani Aur Hai; Qaata-e-Aamaar Hain Aksar Nazoom; Woh Balaa-e-Aasmaani Aur Hai; Ho Chukin Ghalib Balayein Sab Tamaam; Ek Marg-e-Naagahaani Aur Hai! |
Mohabbat Se Rihaa Hona Zaroori Ho Geya Hai; Mera Tujh Se Judaa Hona Zaroori Ho Geya Hai; Wafaa Ke Tazurbey Karte Hue To Umar Guzri; Zara Sa Bewafa Hona Zaroori Ho Geya Hai! |