Shayari

• Khyal Aata Hai Jab Bhi Uska Chehra;

To Labon Pe Aksar Fariyad Aati Hai;

Bhool Jata Hun Saare Gham Aur Sitam Uske;

Jab Bhi Uski Thodi Si Mohabbat Yaad Aati Hai!Upload to Facebook
Khyal Aata Hai Jab Bhi Uska Chehra;
To Labon Pe Aksar Fariyad Aati Hai;
Bhool Jata Hun Saare Gham Aur Sitam Uske;
Jab Bhi Uski Thodi Si Mohabbat Yaad Aati Hai!
• Jaane Wale Dil Ko Pathar Kar Gaye;
Phir Kissi Ko Dekh Kar Dil Dhadka Hi Nahin!
• Dene Aaye Hain Mere Dard Kee Keemat Mujh Ko;
Itne Humdard Hain Na Jaane Kyon Log Mere!
• Taluq Rakh Liya Baaki

Taluq Rakh Liya Baaki Yakeen Tod Aaya Hun;
Kisi Ka Saath Dena Tha Kisi Ko Chod Aaya Hun;

Tumhare Saath Jeene Kee Kasam Khane Se Kuch Pehle;
Main Kuch Vaade, Kayi Kasmein, Kahin Pe Tod Aaya Hun;

Mohabbat Kaanch Ka Zinaaan Thi, Yun Sang-e-Garaan Kab Thi;
Jahan Sir Phod Sakta Tha, Wahan Sir Phod Aaya Hun;

Palat Kar Aa Geya Lekin Yun Lagta Hai Ki Apna Aap;
Jahan Tum Mujh Se Bichde The Wahin Rakh Chod Aaya Hun;

Use Jaane Kee Jaldi Thi So Main Aankhon Hi Aankhon Mein;
Jahan Tak Chod Sakta Tha, Wahan Tak Chod Aaya Hun!
• Zindagi Tujh Se Har Ek Saans Pe Samjhauta Karun;

Shaunk Jeene Ka Hai Mujh Ko Magar Itna To Nahi;

Rooh Ko Dard Mila Dard Ko Aankhein Na Mili;

Tujh Ko Mehsoos Kiya Hai Tujhe Dekha To Nahi!Upload to Facebook
Zindagi Tujh Se Har Ek Saans Pe Samjhauta Karun;
Shaunk Jeene Ka Hai Mujh Ko Magar Itna To Nahi;
Rooh Ko Dard Mila Dard Ko Aankhein Na Mili;
Tujh Ko Mehsoos Kiya Hai Tujhe Dekha To Nahi!
~ Muzaffar Warsi
• Zinda Rahein To Kya Hai, Jo Mar Jaayein Hum To Kya;

Duniya Se Khamoshi Se Guzar Jaayein Hum To Kya;

Hasti Hi Apni Kya Hai Zamaane Ke Saamne;

Ek Khwab Hain Jahaan Mein Bikhar Jaayein Hum To Kya!Upload to Facebook
Zinda Rahein To Kya Hai, Jo Mar Jaayein Hum To Kya;
Duniya Se Khamoshi Se Guzar Jaayein Hum To Kya;
Hasti Hi Apni Kya Hai Zamaane Ke Saamne;
Ek Khwab Hain Jahaan Mein Bikhar Jaayein Hum To Kya!
• Muddtaa Hoyian Vicchde Nu Oh Gallaan Phir Yaad Karn Nu Jee Karda;
Rabb Jaane Tera Mera Ki Rishta Ajj Phir Tainu Apni Kehan Nu Jee Karda!
• Hontho Pe Dil Ke Tarane Nahi Aate;
Sahil Pe Samundar Ke Fasane Nahi Aate;
Neend Mein Bhi Khul Uthti Hain Palkein;
Aankhon Ko Khwab Chupane Nahi Aate!
• Badla Tere Sitam Ka

Badla Tere Sitam Ka Koi Tujh Se Kya Kare;
Apna Hi Tu Farefta Hove, Khuda Kare;

Qaatil Hamari Naash Ko Tash-Hir Hai Zarur;
Aainda Ta Koi Na Kisi Se Wafa Kare;

Fikr-e-Maash, Ishq-e-Butaan, Yaad-e-Raftgaan;
Do Din Ki Zindagi Mein Ab Koi Kya Kya Kiya Kare;

Aalam Ke Beech Phir Na Rahe Rasm-e-Aashiqui;
Gar Neem Lab Koi Tere Shikwe Se Waa Kare;

Gar Ho Sharaab-o-Khilwat-o-Mahboob-e-Khub Roo;
Zaahid Kasam Hai Tujh Ko Jo Tu Ho To Kya Kare;

Khaakastr-o-Patang-o-Mashahd Meri Ki Khaak;
Sham-o-Shafaq Ajab Ho Jo Mil Kar Uda Kare;

Ai Waae Bar Aseer, Ke Par Tod Kar Jise;
Sayyaad Fasl-e-Gul Mein Chaman Se Riha Kare!
~ Mirza Ghalib
• Ye Dil Bhulata Nahi Hai Mohabbatein Uski;

Padi Hui Thi Mujhe Kitni Aadatein Uski;

Ye Mera Sara Safar Uski Khushbu Mein Kata;

Mujhe To Raah Dikhaati Thi Chahatein Uski!Upload to Facebook
Ye Dil Bhulata Nahi Hai Mohabbatein Uski;
Padi Hui Thi Mujhe Kitni Aadatein Uski;
Ye Mera Sara Safar Uski Khushbu Mein Kata;
Mujhe To Raah Dikhaati Thi Chahatein Uski!
~ Noshi Gilani
ADVERTISEMENT
ADVERTISEMENT