Tere Bina Tutkar Bikhar Jayenge; Tum Mil Gaye To Gulshan Ki Tarah Khil Jayenge; Tum Na Mile To Jeete Ji Mar Jayenge; Tumhe Paa Liya To Mar Ke Bhi Jee Jayenge! |
Aao Kisi Shab Mujhe Toot Ke Bikharta Dekho; Meri Ragon Mai Zehar Judaai Ka Utarta Dekho; Kis Kis Adaa Se Tujhe Maanga Hai Khuda Se; Aao Kabhi Mujhe Sajdon Mai Sisakta Dekho! |
Humne Hamare Ishq Ka, Izhaar Yoon Kiya; Phoolon Se Tera Naam, Pathron Pe Likh Diya! |
Abke Khafa Hua Hai Itna Abke Khafa Hua Hai Itna Khafa Bhi Ho; Tu Bhi Ho Aur Tujh Mein Koi Doosra Bhi Ho; Aankh Na Chheen Meri Nakabe Badlata Chal; Yun Ho Ki Tu Karib Bhi Ho Aur Juda Bhi Ho; Rishton Ke Registan Mein Har Sar Par Dhoop Hai; Har Paanv Mein Safar Hai Magar Raasta Bhi Ho; Duniya Ke Kehne Sunane Par Insaniyat Na Chhod; Insan Hai Toh Saath Mein Koi Khata Bhi Ho! |
Hans Ke Farmaate Hain Woh, Dekh Ke Haalat Meri; Kyon Tum Aasaan Samajhte The Mohabbat Meri; Baad Marne Ke Bhi Chhori Na Rafaaqat Meri; Meri Turbat Se Lagi Baithi Hai Hasrat Meri! |
Galtiyon Se Juda Tu Bhi Nahi, Main Bhi Nahi; Dono Insaan Hain, Khuda Tu Bhi Nahi, Main Bhi Nahi; Tu Mujhe Aur Main Tujhe Ilzaam Deta Hun Magar; Apne Andar Jhankta Tu Bhi Nahi, Main Bhi Nahi! |
Wohi Gardishein Wohi Paich-o-Kham Tere Baad Bhi; Wohi Haunsle Mere Dum Ba Dum Tere Baad Bhi; Tere Sath Thi Teri Jafa Mujhe Moatabar; Tere Saare Gham Mujhe Mohtaram Tere Baad Bhi! |
Ek Khwaish Sirhane Rakh Do Na; Aaj Mujh Pe Tum Inayat Kar Do Na; Zara Chupke Se Khamoshi Se; Tum Izhar-e-Mohabbat Kar Do Na! |
Ek Baar Ek Baar Kar Ke Aitbaar Likh Do; Kitna Hai Mujh Se Pyaar Likh Do; Kat Ti Nahi Yeh Zindagi, Ab Tere Bin; Kitna Karoon Aur Intezar Likh Do; Taras Rahi Hun Badi Muddat Se; Iss Bar Apni Mohabbat Ka Izhaar Likh Do; Deewane Ho Jayein Jise Padh Ke Hum; Kuch Aisa Tum Mere Naam Likh Do; Zayada Nahi Likh Sakte To Mat Likho; Mohabbat Bhare Lafz Do Chaar Likh Do; Ek Baar Likho Mohabbat Hai Tum Se; Phir Yehi Jumla Baar Baar Likh Do! |
Mere Jazbaat Se Waqif Hai Meri Kalm 'Faraz'; Main Pyaar Likhun To Tera Naam Likha Jata Hai! |