Khamosh Hothon Ka Agar Ishara Mil Jaaye; In Dilkash Nagmon Ka Sahara Mil Jaaye; Aapki Mast Nazarein Bekaraar Lagti Hain; Dekh Kar Inhe Mujhe Bhi Shayad Koi Sahara Mil Jaaye! |
Zindagi Jeete Jeete Hum Marna Seekh Gaye; Khade The Maut Kee Raah Pe Magar Jeena Seekh Gaye; Ab To Is Zindagi Pe Bhi Taras Aane Laga Hai; Jo Jeete Hue Marna Aur Marte Hue Jeena Seekh Gaye! |
Hasane Ke Baad Kyon Rulati Hai Duniya; Jaane Ke Baad Kyon Bhulati Hai Duniya; Zindagi Mein Kya Koi Kasar Baaki Thi; Jo Mar Jaane Ke Baad Bhi Jalati Hai Duniya! |
Kasam Hai Aapke... Kasam Hai Aapke Har Roz Rooth Jaane Kee; Ki Ab Hawas Hai Ajal Ko Gale Lagane Kee; Wahan Se Hai Meri Himmat Kee Ibtidaa Allah; Jo Intiha Hai Tere Sabr Aazmane Kee; Phoonka Hua Hai Mere Aashiyan Ka Har Tinka; Falak Ko Khoo Hai To Hai Bijliyan Girane Kee; Hazaar Baar Hui Go Malalegul Se Dochaar; Kalee Se Khoo Na Gayi Phir Bhi Muskurane Kee; Mere Guroor Ke Maathe Pe Aa Chali Hai Shikan; Badal Rahi Hai To Badle Hawa Zamane Kee; Chiraag-e-Dair-o-Harm Kab Ke Bujh Gaye Ai 'Josh'; Hanoz Shammaa Hai Roshan Sharab Khaane Kee! |
Is Se Pehle Ki Bewafa Ho Jayein; Kyon Na Ai Dost Hum Judaa Ho Jayein; Tu Bhi Heere Se Ban Geya Pathar; Hum Bhi Kal Jaane Kya Se Kya Ho Jayein! |
Apni Aakhon Ke Samander Mein Utar Jaane De; Tera Mujrim Hun, Mujhe Doob Ke Mar Jaane De; Zakham Kitne Teri Chaahat Se Mile Hain Mujhko; Sochta Hun Kahun Tujhse, Phir Sochta Hun Ki Chod Jaane De! |
Aarzoo Hai Ki Unki Har Nazar Dekha Karein; Woh Hi Apne Saamne Ho Hum Jidhar Dekha Karein; Ek Taraf Ho Saari Duniya, Ek Taraf Surat Teri; Hum Tujhe Duniya Se Hokar Bekhabar Dekha Karein! |
Najane Kab Tak Ye Aankhein Uska Intezar Karengi; Uski Yaad Mein Kab Tak Khud Ko Bekarar Karengi; Use To Ehsaas Tak Nahi Is Mohabbat Ka Yaaro; Kab Tak Ye Dhadkane Uska Aitbaar Karengi! |
Jab Kisi Se Jab Kisi Se Koi Gila Rakhna; Samne Apne Aaina Rakhna; Yun Ujaalon Se Waasta Rakhna; Shama Ke Paas Hi Hawa Rakhna; Ghar Kee Taameer Chaahe Jaisi Ho; Is Mein Rone Ki Jagah Rakhna; Masziden Hain Namaaziyon Ke Liye; Apne Ghar Mein Kahin Khuda Rakhna; Milna-Julna Jahan Zaroori Ho; Milne-Julne Ka Haunsla Rakhna! |
Hum Bhi Ek Sham Bahut Uljhe Hue The Khud Mein; Ek Sham Usko Bhi Haalat Ne Mohlat Nahi Di! |