Log Kehte Hain Raat Beet Chuki, Mujh Ko Samjhao Main Sharabi Hun; Hai Dua Yaad Magar Harf-e-Dua Yaad Nahi, Mere Naghmat Ko Andaaz-e-Nava Yaad Nahin! *Harf-e-Dua: Words of prayers *Andaaz-e-Nava: Style of voice |
Hazarat-e-Naseh Gar Aayen Didah-o-Dil Farsh-e-Raah; Koi Mujh Ko Ye To Samjha Do Ki Samjhavenge Kya! |
Tera Milna Khushi Ki Baat Sahi, Tujh Se Mil Kar Udaas Rehta Hun; Hazaar Barq Gire Laakh Andhiyan Uthen, Wo Phool Khil Ke Rahenge Jo Khilne Wale Hain! |
Raat Bhi Neend Bhi Kahani Bhi; Haaye Kya Cheez Hai Jawani Bhi! |
Ab Ek Pal Ka Tughafil Bhi Seh Nahi Sakte; Hum Ahal-e-Dil Kabhi Aadi The Intezar Ke Bhi! *Tughafil: Laziness *Ahal-e-Dil: People of generous |
Ilam Na Aave Vich Shumar, Iko Alaf Tere Darkar; Jandi Umar Nahi Aitbar, Ilmon Bas Karin O Yaar! |
Dua Karo Ki Main Us Ke Liye Dua Ho Jaaun; Wo Ek Shakhs Jo Dil Ko Dua Sa Lagta Hai! |
Sair Kar Duniya Ki Ghafil Zindagani Phir Kahan; Zindagi Gar Kuch Rahi To Ye Jawani Phir Kahan! |
Be-Niyazi Hadd Se Guzri Banda-Parvar Kab Talak; Hum Kahenge Hal-e-Dil Aur Aap Farmavenge Kya! *Be-Niyazi: Unconcern *Banda-Parvar: Powerful man |
Bada Azar-e-Jan Hai Wo Agarche Mehrban Hai Wo, Agarche Mehrban Hai Wo Bada Azar-e-Jaan Hai Wo; Misal-e-Aasman Hai Wo Mujhe Zarkhez Karta Hai, Mujhe Zarkhez Karta Hai Misal-e-Aasman Hai Wo! *Azar-e-jan: Torment of life, *Agarche: Granted that |