Ye Ada-e-Be-Niyazi Tujhe Bewafa Mubarak; Magar Aisi Be-Rukhi Kya Ki Salaam Tak Na Pahunche! *Ada-e-Be-Niyazi: Air of carelessness |
Kaun Sa Zakhm Tha Jo Taaza Na Tha, Itna Gham Milega Andaza Na Tha; Aap Ki Jheel Si Aankhon Ka Kya Kasoor, Doobne Wale Ko Hi Gehrai Ka Andaza Na Tha! |
Tum Parindon Se Zyada To Nahi Ho Azaad; Shaam Hone Ko Hai Ab Ghar Ki Taraf Laut Chalo! |
Doston Ko Bhi Mile Dard Ki Daulat Ya Rab; Mera Apna Hi Bhala Ho Mujhe Manzoor Nahi! |
Kya Kahun Us Se Ki Jo Baat Samajhta Hi Nahi; Wo To Milne Ko Mulaqat Samajhta Hi Nahi! |
Meri Rooh Ki Haqeeqat Mere Aansuon Se Pucho, Mera Majlisi Tabassum Mera Tarjuman Nahi Hai; Main Kis Ke Haath Pe Apna Lahu Talaash Karun, Tamaam Shehar Ne Pehne Hue Hain Dastane! |
Dost Gham Khwari Mein Mere Se Farmavenge Kya; Zakhm Ke Bharne Talak Nakhun Na Badh Javenge Kya! |
Gar Kis Diljale Ki Hai Ye Falak, Shola Ek Subah Yaan Se Uthta Hai; Khana-e-Dil Se Zinhar Na Ja, Koi Aise Makaan Se Uthta Hai! *Zinhar :Quarter, Refuge, Mercy |
Jis Ahd Mein Lut Jaye Faqeeron Ki Kamai, Us Ahd Ke Sultan Se Kuch Bhool Hui Hai; Ai Adam Ke Musafiro Hoshiyar, Raah Mein Zindagi Khadi Hogi! |
Kahan Ke Mahir-o-Kamil Ho Tum Hunar Mein 'Adil' Tumhare Kaam To Parvar Deegar Karta Hai! |