Bas Ek Baat Se Dar Lagta Hai Doston; Hum Ajnabi Na Ban Jaein Doston; Zindagi Ke Rangon Mein Dosti Ka Rang Feeka Na Pad Jaye; Kahin Aisa Na Ho Doosre Rishton Ki Bheed Mein Dosti Dum Tod Jaye! |
Mushkil Hai Is Yaari Ko Bhula Pana; Mushkil Hai Tumhe Yaadon Se Mita Pana; Tum Ek Keemti Tohfa Ho Dosti Ka; Namumkin Hai Is Tohfe Ki Keemat Chuka Pana! |
Mehfil Main Kuch To Sunana Padta Hai; Gham Chupakar Muskurana Padta Hai; Kabhi Unke Hum Bhi The Dost; Aaj Kal Unhe Yaad Dilana Padta Hai! |
Kuch Ehsason Ke Saye Dil Ko Chu Jate Hain; Kuch Manzar Dil Mein Utar Jate Hain; Bejan Gulshan Mein Bhi Phool Khil Jate Hain; Jab Zindagi Mein Aap Jaise Dost Mil Jate Hain! |
Jo Dil Ke Karib Hi Nahi Saanso Me Base Ho; Dost Sache Agar Sath Ho To Roya Nahi Karte; Jo Ho Jeene Ki Wajah Vo Har Pal Yaad Aate Hai; Gum Me Bhi Sukun De Ese Doston Ko Khoya Nahi Karte! |
Kash Kuch Aisa Karishma Hota; Kisi Ko Banwane Ke Liye Khuda Ko Order Dena Hota; Tujh Jaisa Hi Ek Dost Banwata Mai Khuda Se Khud Ke Liye; Bhale Hi Uski Keemat Mein Khud Ko Khona Hota! |
Phoolon Ki Wadi Me Ho Basera Tera; Sitaron Ke Aangan Mein Ho Ghar Tera; Dua Hai Esh Dost Ki Ae Dost Tere Lia; K Tujh Se Bhi Khubsurat Ho Naseb Tera! |
Baatein Karke Rula Na Dijiyega; Yoon Chup Rehke Saza Na Dijiyega; Na De Sake Khushi,To Gam Hi Sahi; Par Dost Bana Ke Uhi Bhula Na Dijiyega! |
Kamyabi Kabhi Badi Nahi Hoti; Pane Wale Hamesha Bade Hote Hai; Darar Kabhi Badi Nahi Hoti; Bharne Wale Hamesha Bade Hote Hai; Itihaas Ke Har Panne Par Likha Hai; Dosti Kabhi Badi Nahi Hoti; Nibhane Wale Hamesha Bade Hote Hai! |
Apni Takleef Mei Mujhe Umeed Samajhna; Koi Gam Aaye To Apne Najdeek Samajhna; De Saku Hasi Us Ansu Ke Badle To; Hajaro Ke Bech Mujhe Sabse Kareeb Samjhna! |