Hum Doston Ko Bhulte Nahi Hain; Magar Yeh Baat Jatate Nahi Hain; Doston Ko Hamesha Rakhte Hain Yaad; Hum Bhulne Ke Liye Dost Banate Nahi Hain! |
Bolti Hai Dosti Chup Rahta Hai Pyar; Hasti Hai Dosti Rulata Hai Pyar; Milti Hai Dosti Bichhadta Hai Pyar; Phir Na Jane Log Kyon Karte Hain Pyar! |
Chahoon To Ab Bhi Janibe-Manzil Palat Chalu; Gumraah Is Liye Hun Ki Rahbar Khafha Na Ho! Translation: Janibe-Manzil: Towards The Destination |
Mere Bigre Hue Kaamon Ko Banaya Tu Ne; Bojh Jo Mujh Se Na Utha Woh Uthaya Tu Ne! |
Dost Ho Kar Bhi Mahino Nahi Miltaa Mujhse; Uss Se Kehna Ke Kabhi Zakhm Lagaane Aaye! |
Mere Kuch Dost Mujhe Yoon Bhi Sataane Aaye; Khud Mujhe Mera Hi Afsaana Sunaane Aaye; Din Ke Dhalte Hue Lamhon Ki Kiran Wo Lekar; Mere Tareek-E-Muqaddar Ko Jagaane Aaye! |
Mehfil Mein Kuch To Sunaana Padta Hai; Apna Gham Bhul Ke Muskuraana Padtaa Hai; Kabhi Hum Bhi Unke Dost Hua Karte The; Ab Ye Humein Unhe Yaad Dilaana Padtaa Hai! |
Yaad Karte Hai Tumhe Tanhai Mein; Dil Dooba Hai Gam Ki Gehraai Mein; Hume Mat Dhundna Duniya Ki Bhid Mein Aye Dost; Hum Milenge Tumhe Tumhari Hi Parchai Mein! |
Logon Ne To Thukra Diya Haal-e-Gharibi Dekh Ker Dost; Hum To Aaj Bhi Badshah Hain Dosti Ke Bazaar Mein! |
Taaron Mein Akela Chaad Jagmagata Hai; Mushquilo Mein Akela Insaan Dagmagata Hai; Kaate Se Ghabrana Mat Mere Dost; Kyunki Kaaton Mein Hi Akela Gulab Muskurata Hai! |