Sar Jhukaoge To... Sar Jhukaoge To Patthar Devta Ho Jayega; Itanaa Mat Chaho Use Wo Be-Wafa Ho Jayega; Hum Bhi Dariya Hain Humein Apana Hunar Maloom Hai; Jis Taraf Bhii Chal Padenge Raasta Ho Jayega; Kitani Sachayi Se Mujh Se Zindagi Ne Keh Diya; Tu Nahi Mera To Koi Doosra Ho Jayega; Main Khuda Ka Naam Le Kar Pee Rahaa Hun Dosto; Zehar Bhi Iss Mein Agar Hoga Dawa Ho Jayega; Rooth Janaa To Mohabbat Kee Alamat Hai Magar; Kya Khabar Thi Mujh Se Wo Itna Khafa Ho Jayega! |
Jag Mein Aakar Jag Mein Aakar Idhar Udhar Dekha; Tu Hi Aaya Nazar Jidhar Dekha; Jaan Se Ho Gaye Badan Khali; Jis Taraf Tune Aankh Bhar Dekha; Nala, Fariyad, Aah Aur Zaree; Aap Se Ho Saka So Kar Dekha; Un Labon Ne Kee Na Maseehayi; Hum Ne Sau-Sau Tarah Se Mar Dekha; Zor Aashiq Mizaaj Hai Koi; 'Dard' Ko Kissa-e-Mukhtsar Dekha! |
Tanhaiyon Mein Tanhaiyon Mein Khayaal Aata; Khayaalon Mein Wo Naam Chala Aata; Beqarar Dil Ko Qarar Nahi Aata; Milne Ka Humein Kyon Unko Khayaal Nahi Aata; Jaage Bhi Wo Soye Bhi Wo, Ye Silsila Tham Hi Nahi Pata; Soche To Kya Soche, Koi Vichar Aur Samajh Nahi Aata; Rab Se Aziz Wo Kaisa Saaya Hai, Itna Kya Mann Ko Bhaya; Naam Lena Chahu Rab Ka Aur Uska Hi Naam Zubaan Pe Aa Jata! |
Koi Din Gar Zindgani Koi Din Gar Zindgani Aur Hai; Apne Jee Mein Hum Ne Thaani Aur Hai; Aatish-e-Dozakh Mein Yeh Garmi Kahaan; Soz-e-Ghumhaae Nihaani Aur Hai; Baarha Dekhi Hain Unki Ranjishen; Par Kuch Ab Ke Sargaraani Aur Hai; De Ke Khat Munh Dekhta Hai Naama Bar; Kuch To Paigham-e-Zabaani Aur Hai; Qaata-e-Aamaar Hain Aksar Nazoom; Woh Balaa-e-Aasmaani Aur Hai; Ho Chukin Ghalib Balayein Sab Tamaam; Ek Marg-e-Naagahaani Aur Hai! |
Taluq Rakh Liya Baaki Taluq Rakh Liya Baaki Yakeen Tod Aaya Hun; Kisi Ka Saath Dena Tha Kisi Ko Chod Aaya Hun; Tumhare Saath Jeene Kee Kasam Khane Se Kuch Pehle; Main Kuch Vaade, Kayi Kasmein, Kahin Pe Tod Aaya Hun; Mohabbat Kaanch Ka Zinaaan Thi, Yun Sang-e-Garaan Kab Thi; Jahan Sir Phod Sakta Tha, Wahan Sir Phod Aaya Hun; Palat Kar Aa Geya Lekin Yun Lagta Hai Ki Apna Aap; Jahan Tum Mujh Se Bichde The Wahin Rakh Chod Aaya Hun; Use Jaane Kee Jaldi Thi So Main Aankhon Hi Aankhon Mein; Jahan Tak Chod Sakta Tha, Wahan Tak Chod Aaya Hun! |
Badla Tere Sitam Ka Badla Tere Sitam Ka Koi Tujh Se Kya Kare; Apna Hi Tu Farefta Hove, Khuda Kare; Qaatil Hamari Naash Ko Tash-Hir Hai Zarur; Aainda Ta Koi Na Kisi Se Wafa Kare; Fikr-e-Maash, Ishq-e-Butaan, Yaad-e-Raftgaan; Do Din Ki Zindagi Mein Ab Koi Kya Kya Kiya Kare; Aalam Ke Beech Phir Na Rahe Rasm-e-Aashiqui; Gar Neem Lab Koi Tere Shikwe Se Waa Kare; Gar Ho Sharaab-o-Khilwat-o-Mahboob-e-Khub Roo; Zaahid Kasam Hai Tujh Ko Jo Tu Ho To Kya Kare; Khaakastr-o-Patang-o-Mashahd Meri Ki Khaak; Sham-o-Shafaq Ajab Ho Jo Mil Kar Uda Kare; Ai Waae Bar Aseer, Ke Par Tod Kar Jise; Sayyaad Fasl-e-Gul Mein Chaman Se Riha Kare! |
Abke Khafa Hua Hai Itna Abke Khafa Hua Hai Itna Khafa Bhi Ho; Tu Bhi Ho Aur Tujh Mein Koi Doosra Bhi Ho; Aankh Na Chheen Meri Nakabe Badlata Chal; Yun Ho Ki Tu Karib Bhi Ho Aur Juda Bhi Ho; Rishton Ke Registan Mein Har Sar Par Dhoop Hai; Har Paanv Mein Safar Hai Magar Raasta Bhi Ho; Duniya Ke Kehne Sunane Par Insaniyat Na Chhod; Insan Hai Toh Saath Mein Koi Khata Bhi Ho! |
Ek Baar Ek Baar Kar Ke Aitbaar Likh Do; Kitna Hai Mujh Se Pyaar Likh Do; Kat Ti Nahi Yeh Zindagi, Ab Tere Bin; Kitna Karoon Aur Intezar Likh Do; Taras Rahi Hun Badi Muddat Se; Iss Bar Apni Mohabbat Ka Izhaar Likh Do; Deewane Ho Jayein Jise Padh Ke Hum; Kuch Aisa Tum Mere Naam Likh Do; Zayada Nahi Likh Sakte To Mat Likho; Mohabbat Bhare Lafz Do Chaar Likh Do; Ek Baar Likho Mohabbat Hai Tum Se; Phir Yehi Jumla Baar Baar Likh Do! |
Dil Daba Jata Hai Dil Daba Jata Hai Kitna Aaj Gam Ke Bhaar Se; Kaisi Tanhayi Tapakti Hai Dar-o-Deewar Se; Manzil-e-Iqrar Apni Aakhiri Manzil Hai Ab; Hum Ke Aaye Hain Guzar Kar Jaada-e-Inkaar Se; Tarjuman Tha Aks Apne Chehra-e-Ghum-Gashta Ka; Ik Sada Aati Rahi Aaina-e-Asrar Se; Mand Padte Ja Rahe The Khwab-Tasveeron Ke Rang; Raat Utarti Ja Rahi Thi Dard Kee Deewar Se; Main Bhi 'Akbar' Karb-Aagin Jaanta Hun Zeest Ko; Munsalik Hai Fikr Meri Fikr-e-Shopnah Aahur Se! |
Kasam Hai Aapke... Kasam Hai Aapke Har Roz Rooth Jaane Kee; Ki Ab Hawas Hai Ajal Ko Gale Lagane Kee; Wahan Se Hai Meri Himmat Kee Ibtidaa Allah; Jo Intiha Hai Tere Sabr Aazmane Kee; Phoonka Hua Hai Mere Aashiyan Ka Har Tinka; Falak Ko Khoo Hai To Hai Bijliyan Girane Kee; Hazaar Baar Hui Go Malalegul Se Dochaar; Kalee Se Khoo Na Gayi Phir Bhi Muskurane Kee; Mere Guroor Ke Maathe Pe Aa Chali Hai Shikan; Badal Rahi Hai To Badle Hawa Zamane Kee; Chiraag-e-Dair-o-Harm Kab Ke Bujh Gaye Ai 'Josh'; Hanoz Shammaa Hai Roshan Sharab Khaane Kee! |