Teri Gali Mein Main Na Chalun Teri Gali Mein Main Na Chalun Aur Sabaa Chale; Yun Hi Khuda Jo Chahe To Bande Kee Kya Chale; Kis Kee Ye Mauj-e-Husn Hui Jalvagaar Ki Yun; Dariya Mein Jo Habab The Aankhein Chuppa Chale; Hum Bhi Jaras Kee Tarah To Is Qafile Ke Saath; Naale Jo Kuch Bisaat Mein The So Suna Chale; Keh Baithiyo Na 'Dard' Ki Ahl-e-Wafaa Hun Main; Us Bewafa Ke Aage Jo Zikr-e-Wafaa Chale! |
Tere Daaman Kee Hawa Mangte Hain; Hum Bhi Jeene Kee Dua Mangte Hain; Mutaribo Koi Achuta Nagma; Saaz Aahang-o-Sadaa Mangte Hain; Maah-o-Anjum Ke Jharokhe Aksar; Kisi Ke Aariz Kee Dua Mangte Hain; Phir Patangon Mein Khudayi Jagi; Sholay Hashr-Numa Mangte Hain; Banda-Parwar Koi Khairat Nahi; Hum Wafaon Ka Sila Mangte Hain; Maikada Ho Ke Kaleesa 'Saghir'; Sari Duniya Ka Bhala Mangte Hain! |
Shayad Aaghaz Hua Phir Shayad Aaghaz Hua Phir Kisi Afsane Ka; Hukm Aadam Ko Hai Jannat Se Nikal Jane Ka; Un Se Kuch Keh To Raha Hun Magar Allah Na Kare; Wo Bhi Mafhoom Na Samjhe Mere Afsane Ka; Dekhna Dekhna Yeh Hazrat-e-Vaiz Hi Na Hon; Raasta Puch Raha Hai Koi Maikhane Ka; Betalluq Tere Aage Se Guzar Jata Hun; Yeh Bhi Ek Husn-e-Talab Hai Tere Deewane Ka; Hashr Tak Garmi-e-Hungama-e-Hasti Hai 'Shakeel'; Silsila Khatm Na Hoga Mere Afsane Ka! |
Apna Deewana Bana Kar Le Jaye; Kabhi Wo Aaye Aur Aa Kar Le Jaye; Roz Buniyad Uthata Hun Nayi; Roz Sailab Baha Kar Le Jaye; Husn Walon Mein Koi Aisa Ho; Jo Mujhe Mujh Se Chura Kar Le Jaye; Rang-e-Rukhsaar Pe Itarao Nahi; Jaane Kab Waqt Udaa Kar Le Jaye; Kise Maloom Kahan Kaun Kise; Apne Raaste Pe Laga Kar Le Jaye; 'Aftab' Ek To Aisa Ho Kahin; Jo Humein Apna Bana Kar Le Jaye! |
Giri Is Tabassum Ki Bijli... Giri Is Tabassum Ki Bijali Ajal Par; Andhere Ka Ho Noor Mein Kya Guzara; Justjoo Jis Gul Ki Tarpati Thi Ai Bulbul Mujhe; Khoobi-e-Qismat Se Aakhir Mil Gaya Woh Gul Mujhe; Parwana Tujhse Karta Hai Ai Shama Pyaar Kyon; Ye Jaane Beqaraar Hai Tujh Par Nisar Kyon; Qismat Buri Sahi Par Tabiyat Buri Nahin; Hai Shukr Ki Jagah Ki Shikayat Nahin Mujhe; Zulm Hai Gar Na Do Sakun Ki Daad; Qahar Hai Gar Karona Mujhko Pyaar; Hoga Koi Aisa Bhi Ki Ghalib Ko Na Jaane; Shayar Toh Wah Achchha Hai Par Badnaam Bahut Hai! |
Ishq Ko Taqleed Se Aazad Kar; Dil Se Giraya Aankh Se Fariyaad Kar; Baaz Aa Ai Banda-e-Husn Majaz; Yun Na Apni Zindagi Barbaad Kar; Ai Khayalon Ke Makeen Nazron Se Door; Meri Veeran Khalvatein Abaad Kar; Naza Mein Hichki Nahi Aayi Mujhe; Bhulne Wale Khudaa-Raa Yaad Kar; Husn Ko Duniyaa Kee Aankhon Se Na Dekh; Apni Ik Tarz-e-Nazar Izaad Kar; Ishrat-e-Duniya Hai Ik Khwab-e-Bahar; Kabaa-e-Dil Dard Se Abaad Kar; Ab Kahan 'Ehsaan' Duniya Mein Wafa; Tauba Kar Nadan Khuda Ko Yaad Kar! |
Har Ek Baat Pe Kehte Ho Har Ek Baat Pe Kehate Ho Tum Ki Tu Kya Hai; Tum Hi Kaho Ki Ye Andaaz-e-Guftgu Kya Hai; Ragon Mein Daudte Phirane Ke Hum Nahi Qaayal; Jab Aankh Hi Se Na Tapka To Phir Lahoo Kya Hai; Chipak Raha Hai Badan Par Lahoo Se Pairaahan; Hamari Jeb Ko Ab Haajat-e-Rafoo Kya Hai; Jalaa Hain Jism Jahaan, Dil Bhii Jal Geya Hoga; Kuredte Ho Jo Ab Raakh, Justajuu Kya Hai! |
Kisi Ranjish Ko Hawa Do Kisi Ranjish Ko Hawa Do Ke Mein Zinda Hoo Abhi; Mujhe Koi Ahsaas Dila Do Ke Mein Zinda Hoon Abhi; Mere Rukane Se Meri Saanse Bhi Ruk Jaayegi; Fasale Aur Badha Do Ke Mein Zinda Hoon Abhi; Zehar Peene Ki Toh Aadat Thi Zamanewalo; Ab Koi Aur Dava Do Ke Mein Zinda Hoon Abhi; Chalti Raho Mein Yuhi Aankh Lagi Hai 'Faakir'; Bheed Logo Ki Hata Do Ke Mein Zinda Hoon Abhi! |
Barish Hui to Phoolon Ke Tan Chaak Ho Gaye; Mausam Ke Haath Bheeg Ke Saffak Ho Gaye; Baadal Ko Kya Khabar Hai Ki Barish Kee Chaah Mein; Kaise Buland-o-Baala Shajar Khaak Ho Gaye; Jugnu Ko Din Ke Waqt Parakhne Kee Zidd Karein; Bachhe Hamare Ahad Ke Chalaak Ho Gaye; Lehra Rahi Hai Barf Kee Chaadar Hata Ke Ghaas; Suraj Kee Sheh Pe Tinke Bhi Bebaak Ho Gaye; Basti Mein Jitne Aab-Gazida The Sab Ke Sab; Dariya Ke Rukh Badalte Hi Tairaak Ho Gaye; Suraj Dimag Log Bhi Ablaagh-e-Fikar Mein; Zulf-e-Shab-e-Firaaq Ke Pechaak Ho Gaye; Jab Bhi Gharib-e-Shehar Se Kuch Guftguu Hui; Lahje Hawa-e-Shaam Ke Namnaak Ho Gaye! |
Door Se Aaye The Saqi Door Se Aaye The Saqi Sun Ke Maykhane Ko Hum; Bas Taraste Hi Chale Afsos Paimane Ko Hum; May Bhi Hai, Meena Bhi Hai, Sagar Bhi Hai Saqi Nahi; Dil Mein Aata Hai Laga Den, Aag Maykhane Ko Hum; Humko Phansna Tha Kafaz Mein, Kya Gila Sayyad Ka; Bas Taraste Hi Rahe Hain, Aab Aur Daane Ko Hum; Baag Mein Lagta Nahi Sehara Mein Ghabrata Hai Dil; Ab Kahan Le Jaake Bithayein Aise Deewane Ko Hum; Taak-e-Aabru Mein Sanam Ke Kya Khudayi Reh Gayi; Ab To Pujenge Usi Kaafir Ke Butkhane Ko Hum; Kya Hui Takseer Hum Se, Tu Bata De Ai 'Nazeer' Taaki Shadi Marg Samajhe, Aise Mar Jaane Ko Hum! |