Ghazal Shayari

  • Jab Kisi Se

    Jab Kisi Se Koi Gila Rakhna;
    Samne Apne Aaina Rakhna;

    Yun Ujaalon Se Waasta Rakhna;
    Shama Ke Paas Hi Hawa Rakhna;

    Ghar Kee Taameer Chaahe Jaisi Ho;
    Is Mein Rone Ki Jagah Rakhna;

    Masziden Hain Namaaziyon Ke Liye;
    Apne Ghar Mein Kahin Khuda Rakhna;

    Milna-Julna Jahan Zaroori Ho;
    Milne-Julne Ka Haunsla Rakhna!
    ~ Nida Fazli
  • Ashk Aankh Mein Phir

    Ashk Aankh Mein Phir Atak Raha Hai;
    Kankar Sa Koi Khatak Raha Hai;

    Main Us Ke Khyaal Se Gurezaan;
    Wo Meri Sada Jhatak Raha Hai;

    Tahreer Usi Kee Hai Magara Dil;
    Khat Padhte Hue Atak Raha Hai;

    Hain Phone Pe Kis Ke Saath Baatein;
    Aur Zehn Kahaan Bhatak Raha Hai;

    Sadiyon Se Safar Mein Hai Samandar;
    Saahil Pe Thakaan Tapak Raha Hai;

    Ek Chaand Saleeb-E-Shaakh-E-Gul Par;
    Baali Kee Tarah Latak Raha Hai!
    ~ Parveen Shakir
  • Dil Soz Se Khali Hai Nigah Paak Nahi Hai;
    Phir Is Mein Ajab Kya Ki Tu Be-Baak Nahi Hai;

    Hai Zauq-e-Tajali Bhi Isi Khaak Mein Pinaha;
    Gaafil Tu Nira Sahib-e-Idrak Nahi Hai;

    Wo Aankh Ki Hai Surma-e-Afarang Se Roshan;
    Pur-Kaar O Sukhan-Saaz Hai Nam-Naak Nahi Hai;

    Kya Sufi-O-Mullaa Ko Khabar Mere Junoon Kee;
    Un Ka Sar-e-Daaman Bhi Abhi Chaak Nahi Hai;

    Kab Tak Rahe Mahakumi-e-Anjum Mein Meri Khaak;
    Yaa Main Nahi Yaa Gardish-e-Aflaak Nahi Hai;

    Bijli Hun Nazar Koh O Bayaabaan Pe Hai Meri;
    Mere Liye Shayan Khaas-o-Khashak Nahi Hai;

    Aalam Hai Faqat Momin-e-Jaanbaaz Kee Meeraas;
    Momin Nahi Jo Sahib-e-Laulaak Nahi Hai!
    ~ Allama Iqbal
  • Bechain Bahut Phirna

    Bechain Bahut Phirna Ghabraye Hue Rehna;
    Ik Aag Si Jazbon Ki Dehkaaye Hue Rehna;

    Chalkaaye Hue Khushbuu Lab-e-Laleen Ki;
    Ik Baag Sa Sath Apne Mehkaaye Hue Rehna;

    Ik Shaam Si Kar Rakhna Kaajal Ke Karishme Se;
    Ik Chaand Sa Aankhon Mein Chamkaaye Hue Rehna;

    Aadat Hi Bana Li Hai Tum Ne To 'Munir' Apni;
    Jis Sheher Mein Bhi Rehna Uktaaye Hue Rehna!
    ~ Munir Niazi
  • Chal Diye Uth Ke

    Chal Diye Uth Ke Su-e-Shehar-e-Wafa Ku-e-Habib;
    Puch Lena Tha Kisi Khak Basar Se Pehle;

    Ishq Pehle Bhi Kiya Hijr Ka Gham Bhi Dekha;
    Itne Tadpe Hain Na Ghabraye Na Tarse Pehle;

    Jee Bahalta Hi Nahin Ab Koi Saath Koi Pal;
    Raat Dhalti Hi Nahin Char Pahar Se Pehle;

    Ham Kisi Dar Pe Na Thithak Na Kahin Dastak Di;
    Saikadon Dar The Meri Jaan Tere Dar Se Pehle;

    Chand Se Ankh Mili Jee Ka Ujala Jaga;
    Hum Ko So Bar Hui Subah Sahar Se Pehle!
    ~ Ibn-e-Insha
  • Aankhon Se Mere Is Liye Laali Nahin Jati;
    Yaadon Se Koi Raat Jo Khaali Nahin Jati;

    Ab Umar, Na Mausam, Na Woh Raaste Ki Woh Palte;
    Iss Dil Ki Magar Khaam Khayali Nahin Jati;

    Maange Tu Agar Jaan Bhi To Hans Ke Tujhe De Dein;
    Teri To Koi Baat Bhi Taali Nahin Jati;

    Aaye Koi Aa Ke Yeh Tere Dard Sambhaale;
    Hum Se To Yeh Jageer Sambhaali Nahin Jati;

    Maloom Humein Bhi Hain Bahut Se Tere Kisse;
    Yeh Baat Teri Hum Se To Uchaali Nahin Jati;

    Humraah Teri Phool Khilaati Jo Dil Mein;
    Ab Shaam Wohi Dard Se Khaali Nahin Jati;

    Hum Jaan Se Jaayen Ge Tabhi Baat Bane Gi;
    Tum Se To Koi Raah Nikaali Nahin Jati!
  • Rahon Pe Nazar Rakhna Honthon Pe Dua Rakhna;
    Aa Jaye Koi Shayad Darwaza Khula Rakhna;

    Ehsaas Kee Shamaa Ko Is Tarah Jalaa Rakhna;
    Apni Bhi Khabar Rakhna Us Ka Bhi Pata Rakhna;

    Raaton Ko Bhatakne Kee Deta Hai Saza Mujhe;
    Dushwaar Hai Pehlu Mein, Dil Tere Bina Rakhna;

    Logon Ko Nigaahon Se Padh Lene Kee Aadat Hai;
    Logon Kee Tehreeron Ko Logon Se Bacha Rakhna;

    Bhuloon Main Agar Aye Dil, Tu Yaad Dila Dena;
    Tanhai Ke Lamhon Ka Har Zakham Hara Rakhna;

    Ik Boond Bhi Ashkon Kee Daaman Na Bhigo Paaye;
    Gham Us Kee Amaanat Hai, Palkon Pe Sajaa Rakhna;

    Iss Tarah 'Qateel' Us Se Bartaao Rahe Apna;
    Woh Bhi Na Bura Maane, Dil Ka Bhi Kaha Rakhna!
    ~ Qateel Shifai
  • Saanson Kee Hararat Se Pighal Jaane Ka Mausam;
    Aaya Hai Teri Aanch Mein Jal Jaane Ka Mausam;

    Hum Ko Nahi Maaloom Tha Ishq Ka Aaghaaz;
    Yaadon Mein Kahin Door Nikal Jaane Ka Mausam;

    Lagta Hai Ki Chehre Pe Tere Thehar Geya Hai;
    Yak Lakht Kayi Rang Badal Jaane Ka Mausam;

    Ai Shehar Tasalli Tere Mashkoor Hain Hum;
    Aaya Hi Nahi Dil Ke Sambhal Jaane Ka Mausam;

    Ye Shehar-e-Tamanna Bhi Anokha Hai Ki Is Par;
    Barsaat Mein Bhi Rehta Hai Thal Jaane Ka Mausam;

    Chehre Pe Agarche Hain Mere Subah Ka Ujaala;
    Aankhon Mein Magar Shaam Ke Dhal Jaane Ka Mausam!
    ~ Farhat Abbas Shah
  • Zara Si Der Ko Aaye The

    Zara Si Der Ko Aaye The Khwab Aankhon Mein;
    Phir Us Ke Baad Musalsal Azaab Aankhon Mein;

    Wo Jis Ke Naam Kee Nisbat Se Roshni Tha Wuzood;
    Khatak Raha Hai Wohi Aaftaab Aankhon Mein;

    Jinhe Mata-e-Dil-o-Jaan Samajh Rahe The Hum;
    Wo Aaine Bhi Hue Behijaab Aankhon Mein;

    Ajab Tarah Ka Hai Mausam Ki Khak Udti Hai;
    Wo Din Bhi The Ki Khile The Gulab Aankhon Mein;

    Mere Ghazal Teri Wahshaton Kee Khair, Ki Hai;
    Bahut Dino Se Bahut Iztaraab Aankhon Mein;

    Na Jaane Kaisi Qayamat Ka Peshkhema Hai;
    Ye Uljhanein Teri Be-Intasaab Aankhon Mein!
    ~ Iftikhar Arif
  • Ye Kab Kaha Tha

    Ye Kab Kaha Tha Nazaron Se Khauf Aata Hai;
    Mujhe To Chaand Sitaaron Se Khauf Aata Hai;

    Main Dushmanon Ke Kisi Vaar Se Nahi Darta;
    Mujhe To Apne Hi Yaaron Se Khauf Aata Hai;

    Khiza Ka Jabar To Seene Pe Rok Lete Hain;
    Humein Udaas Baharon Se Khauf Aata Hai;

    Mile Hain Dosto Besakhiyon Se Gham Itne;
    Mere Badan Ko Saharon Se Khauf Aata Hai;

    Main Iltifaat Kee Khandaq Se Door Rehta Hun;
    Talluqaat Ke Gaaron Se Khauf Aata Hai!
    ~ Syed Wasi Shah
ADVERTISEMENT
ADVERTISEMENT