Unka Bharosa Mat Karo Jinka Khayal Waqt Ke Sath Badal Jaye; Bharosa Unka Karo Jinka Khayal Vaise Hi Rahe Jab Aapka Waqt Badal Jaye! |
Majlis Mein Mere Zikr Ke Aate Hi Uthe Woh; Badnami-e-Ushshaq Ka Ezaz To Dekho! |
Mohabbat Yahan Bikti Hai Ishq Nilaam Hota Hai; Bharose Ka Katal Yahan Khule Aam Hota Hai; Zamaane Se Mili Jab Thokar To Maikhaane Chale Gaye Hum; Aaj Wahi Zamaana Humein Sharabi Ka Naam Deta Hai! |
Dil Tod Kar Hamara Tumko Rahat Bhi Na Milegi; Hamare Jaisi Tumko Kahin Chahat Bhi Na Milegi; Yun Itni Berukhi Na Dikhlaiye Humein; Hum Agar Ruthe To Hamari Aahat Bhi Na Milegi! |
Safar Mein Koi Kisi Ke Liye Theharta Nahi; Na Mud Ke Dekha Kabhi Sahilon Ko Dariya Ne! |
Bane Hain Ahal-E-Hawas Muddai Bhi Munsif Bhi; Kise Vakeel Karein Kisse Munsifi Chaahen! |
Lipta Hai Mere Dil Se Kisi Raaz Ki Maanind; Woh Shakhs Jis Ko Mera Hona Bhi Nahin Hai! |
Aaina Dekh Apna Sa Munh Le Ke Reh Gaye; Sahab Ko Dil Na Dene Pe Kitna Guroor Tha! |
Ab Shikayat Tujh Se Nahi Khud Se Hai; Maana Ki Sare Jhooth Tere The Par Un Pe Yaqeen To Mera Tha! |
Bewafai Karke Niklun Ya Wafa Kar Jaunga; Shehar Ko Har Zaike Se Aashna Kar Jaunga; Tu Bhi Dhoondega Mujhe Shauq-e-Saza Mein Ek Din; Main Bhi Koi Khoobsurat Si Khata Kar Jaunga! |