Na Mila Kar Udaas Logo Se; Husn Tera Bikhar Na Jaye Kahin! |
Dil Hi Toh Hai Na Aaye Kyon, Dam Hi Toh Hai Na Jaye Kyon; Hum Ko Khuda Jo Sabar De Tujh Se Haseen Bnaye Kyon! |
Nikalo Apna Chaand Sa Chehra Agosh-e-Bistar Se, Subah Taras Rahi Hai Tera Deedar Karne Ko! |
Kyon Vasl Ki Shab Haath Lagaane Nahin Dete; Ma-Shuq Ho Ya Koi Amaanat Ho Kisi Ki! |
Honth Uske Chehre Par Kuch Yun Nazar Aate Hain, Doodh Mein Rakhi Ho Jaise Do Pattiyan Gulaab Ki! |
Husn Walon Ko Kya Zaroorat Hai Sanwarne Ki; Woh To Saadgi Mein Bhi Qayamat Ki Ada Rakhte Hain! |
Mitti Ki Anokhi Moorat Ho Tum; Zindagi Ki Ek Zarurat Ho Tum; Phool Toh Khoobsurat Hote Hain; Phoolon Se Bhi Khoobsurat Ho Tum! |
Ab Main Samjha Tere Rukhsaar Pe Til Ka Matlab; Daulat-e-Husn Pe Darbaan Bitha Rakha Hai! Rukhsaar: Cheek Darbaan: Door Keeper |
Tum Ne Hi Naqsh Naqsh Kiya Har Lakeer Ko; Warna Khud Apne Roop Kahan Jaanta Tha Main! Naqsh: Photograph |
Ab Main Samjha Tere Rukhsaar Pe Til Ka Matlab; Daulat-e-Husn Pe Darbaan Bitha Rakha Hai! Rukhsaar: Cheek Darbaan: Door Keeper |