Tamanna Se Nahi Tanhayi Se Darte Hain; Pyaar Se Nahi Ruswayi Se Darte Hain; Milne Kee Chahat To Bahut Hai Magar; Milan Ke Baad Kee Judai Se Darte Hain! |
Kaise Guzarti Hai Meri Har Ek Sham Tere Bagair; Agar Tu Dekhle To Kabhi Tanhaa Na Chhodti Mujhe! |
Naye Kapde Badal Kar Jaun Kahan Aur Baal Banaun Kis Ke Liye; Woh Shakhs To Shehar Hi Chodd Geya Main Bahar Jaun Kis Ke Liye; Muddat Se Koi Aayaa Na Geya Sunsaan Padi Hai Ghar Kee Fazaa; In Khali Kamron Mein 'Nasir' Ab Shama Jalaun Kis Ke Liiye! |
Na Woh Aaye Aur Na Koi Unka Paigaam Aaya; Intezar Mein Apne Tadapa Kar Humein Hai Rulaya; Humse Khataa Hui Agar Koi, Tum Bata Toh Dete; Aisi Bhi Kya Naraazgi Thi Jo Humein Aapne Bhulaya! |
Bichar Kar Aap Se Humko Khushi Achhi Nahi Lagti; Labon Par Yeh Banawat Ki Hansi Achhi Nahi Lagti; Kabhi To Khoob Lagti Thi Magar Yeh Sochti Hoon Ab; Ki Mujhko Kyon Meri Yeh Zindagi Achhi Nahi Lagti! |
Judaa Kisi Se Kisi Ka Garaz Habib Na Ho; Yeh Daag Wo Hai Ki Dushman Ko Bhi Naseeb Na Ho! |
Jab Chote The Hum To Zor Se Rote The; Jo Pasand Hota Tha Use Paane Ke Liye; Aaj Bade Hain To Chupke Se Rote Hain; Jo Pasand Hai Use Bhulane Ke Liye! |
Maut Ne To Nahi Zindagi Ne Bahut Sataya Hai; Tujhe Jitna Bhule Tu Utna Hi Yaad Aaya Hai; Tu kyon Is Baat Ko Aksar Bhool Jata Hai; Barson Minaton Ke Baad Tujhe Paaya Hai! |
Aye Zindagi Kaash Tu Hi Rooth Jaati Mujhse; Ye Roothe Hue Log Mujhse Manaye Nahi Jaate! |
Tumhein Jab Kabhi Mile Fursatein Mere Dil Se Bojh Utaar Do; Main Bahut Dino Se Udaas Hun, Mujhe Koi Shaam Udhaar do! |